CPanel Kya Hai : CPanel ek web-based hosting control panel hai jise hosting providers website owner ko website ko web-based interface se manage karne ke liye provide karte hai. CPanel ko control panel bhi kaha jata hai. CPanel ek Linux based software hai jiski help se website ko manage karna aasan ho jata hai.
WordPress me CPanel Ka Use Kaise Karenge ?
CPanel user ko ek graphical interface provide karta hai jiski helps se user apne portion ke Unix server ko control karta hai. CPanel me diye gaye tools ko website ko run karne aur control karne ke liye design kiya gaya hai. Yeh tiered structure ka use kar ke diferent level ke access ko Allow karta hai. Administrators aur end user server ke different aspect ko direct apne browser se control kar sakte hai. CPanel ko generally 2083 port par http ka use kar ke ya hostname ke last me “/cpanel” add kar ke use kiya jata hai. Har Hosting providers ke CPanel me kuch auto installer or packages hote hai jo content management systems jaise WordPress ke liye dedicated hote hai.
WordPress Install karne ke baad WordPress user WordPress ke feature ko use karne ke liye CPanel ka use kar sakta hai. Jin features ko user manage kar sakta hai wo hai database, domain names, mail accounts, aur backups. Cpanel ke control panel ki help se hosting account ka sab kuch manage kiya ja sakta hai.
CPanel users ko apne hosting ko manage karne ke liye bina kisi web-hosting ke technical knowledge ke web hosting ko easy banata hai.
CPanel Ke Features :
- CPanel ki help se Domain, subdomain, addon domains, parked domains etc ko add karna easy hai.
- File aur directories ko easily manage kiya ja sakta hai.
- Website ko backup kar sakte hai
- File ko easily download aur upload kiya ja sakta hai.
- Security setting ko upgrade kar sakte hai.
- Bandwidth usage ko monitor kar sakte hai aur logs check kar sakte hai.
- Sub Domain ko ready kar skte hain.
- Apni Website ke liye Email Account ready kar skte hain.
- Website pe aa rahe traffic source ko dekh sakte hain, pata laga skate hain ki kitna traffic aa raha hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( CPanel Kya Hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.