Canonical tag un URLs ko jinhe aap search engines me index karna chahte hai use search engine me indicate karne ka ek best tareeqa hai. Agar ap duplicate content ko avoid karna chahte hai to canonical tag ek best option hai jiski help se aap ye kar sakte hai. Is post me hum aapko batayenge ke Canonical tag kya hai aur ye kyu important hai. To chalye dekhte hai what is canonical tag in hindi.
Canonical Tag Kya Hai?
Website ke heading area me canonical tag (rel=“canonical”) HTML ka ek element hai jo webmaster ko duplicate content issues ko prevent karne me help karta hai.
Canonical tag search engines ko ye batane ke aap kis URL ke kis version ko search result me dikhana chahte hai.
In other words, agar aapke pass same ya similar content different URLs pe available hai, to aap canonical tags ke use se search engine ko ye specify kar sakte hai ke kaun sa version main hai jise index hona chhaye.
Duplicate content SEO pe ek negative effect dalta hai, kyuki ye internet users ke liye zyada value provide nahi karta hai.
Duplicate content checker ki help se hum apne content ke plagiarism ko check kar sakte hai.
Kaisa Dikhta Hai Canonical Tag ?
Canonical tags simple aur consistent syntax ka use karta hai., aur ye web page ke <head> section me hota hai.
<link rel=“canonical” href=“https://example.com/sample-page/” />
Ye hai Code ke har ek part matlab:
link rel=“canonical”: Is tag ka link is page ka master (canonical) version hai.
href=“https://example.com/sample-page/”: Aur is URLs pe canonical version paya ja sakta hai.
SEO Ke Liye Canonical Tag Important Kyu Hai?
Google duplicate content ko like nahi karta hai. is se use choose karna mushkil ho jata hai ki:
- Kaun se page ke version ko index karna hai (kisi ek page ko hi index kar sakta hai)
- Kisi bhi relevant queries ke liye page ke kis version ko rank karna hai.
- Link equity ko kisi ek page pe combine karna hai ya unhe multiple version ke beech me baat dena hai.
Bahut zyada duplicate content aapke “crawl budget” ko bhi affect karta hai. Iska matlab hai ke crawler aapke website pe important pages ko search karne ke bajaye ek hi page ke multiple versions ko crawl karne me time ko waste kar sakta hai.
Is issue ko canonical tag solve karta hai. Ye Google ko batata hai ke aapke page ke kis version ko index aur rank karna hai aur “link equity” ko kaha pe merge karna hai.
Agar Google canonical UR ko find nahi kar pata hai to wo khud sekisi URL ke version ko select kar leta hai, joki ek accha idea nahi hai.
Google ko aapke us page ko index aur rank karna chahye jise aap rank karna chahte hai.
Hame Canonical Tag Ki Zaroorat Kab Parti Hai?
Canonical tag ka use karna us waqt important ho jata hai jub content ek se zyada URL pe exist karta hai. Aisa niche diye gaye cases me ho sakta hai:
- Aapke homepage pe different URLs ki help se access kiya ja sakta hai (jaise – www.domain.com, domain.com, www.domain.com/index.html and etc).
- Pages ko hum Trailing Slashes (“/”) aur case sensitivity ke sath aur iske bina bhi access kar sakte hai.
- Pages ke separate printable versions hone pe (e.g., example.com/page and example.com/print/page)
- Different categories me post ka unique URLs hona (e.g., example.com/services/SEO/ and example.com/specials/SEO/)
- Same content ko non HTTPS aur HTTP version pe serve karna (e.g., http://www.example.com and https://www.example.com)
Aise situation me canonical tags ka proper use bahut zaroori hai.
Canonical Tag Implementation Ke Basics
Canonicals ko implement karna bahut aasan hai. Kuch rules hai jise aapko ise implement karte waqt dhyan me rakhna chhahye:
Rule #1: Use absolute URLs
Google’s John Mueller ne kaha hai ke rel=“canonical” link element ke sath relative paths ka use nahi karna ek best practice hai.
Isliye aapko following structure ko use karna chahye:
<link rel=“canonical” href=“https://example.com/sample-page/” />
Na ki ise:
<link rel=“canonical” href=”/sample-page/” />
Rule #2: Use lowercase URLs
Google uppercase aur lowercase URLs ko two different URLs ke taur pe samajh sakta hai. Isliye aapko apne server pe aur phir uske baad canonical tags me lowercase URLs ka use karna chahye.
Rule #3: Use Correct Domain Version (HTTPS vs. HTTP)
Agar aapne SSL pe switch kiya hai, to is baat ka dhyan rakhe ke aap anonical tags me kisi non-SSL (i.e., HTTP) URLs ko declare na kare. Agar aap aisa karte hai to is se theoretically confusion aur unexpected results samne aa sakte hai.
Agar aap ek secure domain ka use kar rahe hai to aap ye ye ensure kare ke aap following version ke URL ka use kar rahe hai:
<link rel=“canonical” href=“https://example.com/sample-page/” />
aki iska:
<link rel=“canonical” href=“http://example.com/sample-page/” />
Rule #4: Use self-referential canonical tags
Google ke John Mueller ne kaha hai ke self-referential canonical tags mandatory nahi balki recommended hai.
Agarr aapko pata nahi hai ke self-referential canonical kaise kaam karta hai, to ye age pe basically ek canonical tag hai jo khud ko point karta hai. For example, agar URL https://example.com/sample-page, hai to ek self-referencing canonical us page pe ye ho sakta hai:
<link rel=“canonical” href=“https://example.com/sample-page” />
Rule #5: Har page Pe Ek Canonical Tag Use Kare
Agar page pe multiple canonical tags honge to Google dono ko ignore kar dega.
Multiple declarations of rel=canonical ke case me Google sabhi rel=canonical hints ko ignor kar dega.
Canonicals Ko Implement Kaise Kare?
Canonical URLs ko specify karne ke five known ways hai. Inhe canonicalization signals ke roop me jana jata hai.
- HTML tag (rel=canonical)
- HTTP header
- Sitemap
- 301 redirect*
- Internal links
Har method ke pros and cons ke liye aap, Google’s official documentation ko dekh sakte hai. Yahan pe hum aapko first method bata rahe hai.
Canonicals using rel=“canonical” HTML tags
rel=canonical tagka use karna canonical URL ko specify karne ka sab se simplest aur obvious way hai.
Simply aap kisi bhi duplicate page ke <head> section me niche diye gaye code ko add kare:
<link rel=“canonical” href=“https://example.com/canonical-page/” />
Example ke liye jaise aap ek ecommerce website ko run kar rahe hai jo shoes sell karta hai. Aap https://yourstore.com/shoes/sports-shoes/ ko canonical URL banana chahte hai, bhale hi us page ka content dusre url ke zarye se accessible ho (e.g. https://yourstore.com/offers/sports-shoes/)
Bus aap simply kisi bhi duplicate pages me niche diye gaye canonical tag ko add kar de:
<link rel=“canonical” href=“https://yourstore.com/shoes/sports-shoes/” />
Dhyan de ke agar aap CMS ka use kar rahe hai to aapko apne page ke sath kisi bhi tarah ki garbari karne ki zaroorat nahi hai. Aap ise easy wy me kar sakte hai.
Canonical Tags in WordPress
Yoast SEO ko install kare aur self-referencing canonical tags automatically add ho jayega. Custom canonicals ko set karne ke liye aap page ya post ke “Advanced” section ka use kare.
Ummed hai aapko Canonical Tag ka ye article (Canonical Tag kya hai) informative laga hoga. pooch sakte hain. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.