Aaj humlog baat kar rhe hai blogging ( Blogging as a Career) ke bare me. Basically blogging ka matlb hota hai apne opinion ko writing ke through logo ke samne rkhne ka, For Example : Apne new lunch koai Mobile liya, to us mobile ko lekr ab apka koai opinion hoga, aur aap use logon ke sath share krna chahte ho. To aap ek article likhnge aur use internet pe post kar denge. To jo likha hai apne vo huaa blog aur aap ban gye blogger. aur ye pura process kehlata hai blogging, Chaliye isko aur details me jante hai.
We Will Clear These Topics In This Article :
- What is Blog?
- What is Blogging ?
- What is Blogger ?
- Who can be a Blogger ?
- Why Blogging is Good?
- Is Blogging an Easy Job?
- Can Blogging be a Full-Time Career?
- What are the Benefits of Blogging?
- Requirements to start blogging.
- Some ways to earn from Blog .
- How much earn with a blog?
01 : What is Blog?
Blog jo hai vo online journal ya technical term hai, Jiska use kisi bhi chiz ko describe karne ke liye kiya jata hai, jiske through aap information le sakte hain. Simply blog ek aisa zariya hai jisse different different information ko logo tak phuchaya jata hai, Apko nearly 2 billion blogs aur website worldwide mil jyenge.
02 : What is Blogging ?
Blogging jo hai vo bahut se skills ka ek set hai jise run aur control krne ki zarurat hoti hai, Internet pe jitne bhi blog hain use create krne se lekr publish karne tak ke pure process ko blogging kehte hain.
03 : What is Blogger ?
Simple language me kahen to Blogger use kehte hai jo blogging karte hain yani ke jo blog post ko likhna, publish krna se lekr blog ko maintain krta hai use hi blogger kehte hain.
04 : Who can be a Blogger ?
Koai bhi blogging kar skta hai , ise karne ke liye koai age ki restriction nhi hai, Agr apke paas strong passion hai blog likhne ko lekr to aap blogging ko as a career soch skte hain kiyunki blogging long term process hai jise succeed hone ke liye patience aur time dono ki zarurat padti hai.
Yahan pe writing se ye matlb bilkul bhi nhi hai ki aap content likhiye aur publish kar dijye, Apka Content creative hona hi chahiye. Apko kuchh creative likhna hoga jisse log attract hon, Aur apki writing skill ke fan ban jyen. Apko isme hard work krna hoga tabhi aap isme succeed ho pyenge. Aur ek baar agr aap isme succeed ho jate hain fir to aap isse achhe khase paise earn kar skte hain.
To agr aapke paas ek achhi writing skill hai, jisse log apke likhe huye ko pasnd kren aur sath hi aap hard work vo bhi patience ke sath kar skte hain tabhi aap Blogger ban skte hain.
05 : Why Blogging is Good?
Blogging jo hai vo apke inner thoughts ka expression hai. iske zariye aap khud ka thoughts represent kar skte hain. Ye apko larger audience ke sath intract karne ka mauka deta hai vo bhi any chaos. Agar apke blog ko zyada audience follow krti hain to aap apne niche ke influencer ban skte hain.
In dino bhut se log professional blogger ban rhe hain jinko bhi kisi certain industry ki knowledge hai aur vo Affiliate Marketing ke through earning kar rhe hain. Ek professional blogger hone ka matlb hai koai boss nhi, Khud ki marzi, Flexible schedule aur jahan se bhi apki marzi ho aap blogging kar skte ho. Koai time jagh fix nhi rhega apka.
06 : Is Blogging an Easy Job?
Agr apka sawal hai ki hain ki blogging ek easy job hai to mera answer hai nhi, Agr aap sochte hain ki aap apna job quit kar ke blogging se easly paise kama skte hain to ye bilkul galat hai, Blogging much more difficult hai kisi full-time job se.
Magar main ye bhi kahungi ki Blogging easy bhi hai, agr aap certain topic ke liye passion rakhte hoto, Blogging apke liye difficult tab hogi jab aap isse paise banana chahoge. Apko bahut zayda passion ki zarurat hogi blog grow krne ke liye.
Jaisa ke aplogon ko pata hi hai kuchh bhi impossible nhi hai, To apko bus ek strong strategy ek road map ki zarurat padegi age badhne ke liye aur han sometimes thoda luck ki bhi.
07 : Can Blogging be a Full-Time Career?
Of course Yes, Blogging me full-time activity possible hai, Bhaut sare youth ajkal full time blogging kar rhe hain, lekin iske liye apko committed hona padega, Aur sabse impotent sawal ye hain ki kya apka right mindset puri tarh se hai ki aap apna blogging business build krna chahte hain.
Yahan pe apko koai bhi guarantees nhi hai aur nahi permanent job ki security . Ye bilkul apka decision hai, aur iske sath apko comfortable hona chahiye.
Aap Blogging me Full-Time Career banaiye ya nhi ye bhi completely apke upar depend karta hai, Agr apke paas creativity hai, aur aap blogging kar ke bahut achha feel karte hain, apke paas vo passion hai to aap bina jhijhak. Full-Time Career choose kijye. Lekin usse pahle hum apko ye janna bhut zaruri hai ki :
- Blogging se earnings kuchh time increases ho jyegi aur kuchh time stable, Koai fix amount me earning nhi hai.
- Jab full time basis pe kaam krna shuru kar denge to ye dhayan zarur rahe ki aap creativity aur quality ko loose nhi karen quantity dene ke chakkar me. Apko apna quantity ko mentain rakhna hai creativity aur quality ke sath.
- Part time blogging karna easy hai magr jab aap pure time ke blogging krna choose karenge to apko zyada topics zyada content chahiye hoga.
To ye sari baten hain, aur agr aap insab chizon ke sath agree karte hoto blogging se aap decent earning pa skte ho.
08 : What are the benefits of Blogging ?
Regularly Blogging krne ke bahut sare benefits hain, Unmese kuchh ko humne yahan pe discribe kiya hai, Ye sare points jo apko clear krenge ki blogging apko kaise benifits dega :
- Learning: Agr aap regularly likhna chahte hain to apko uske liye regularly padhna learn krnahoga, Aur aap zyadatar time reading aur learning kroge apne blog ke liye to aap har din nai nai chiz sikhoge.
- Time Utilization: Jaisa ki aap regularly writing ke liye learn krte rhoge, to aap productive activities me apna time waste krna stop kar doge.
- Influence: Jis bhi field me aap blog likhoge us field ke aap Influencer ban jaaoge, Zyada log apse connect hokr apse knowledge gain krna chenge.
- Monetizing : Aap apne blog ko Monetizing kar ke uspe apne product ko sell kar skte ho, Ye sabkuchh apke blog pe aa rhe traffic pe depend krega.
- Better Comprehension: Jab aap apne ideas ko likh kar audience ke samne dalne lagoge to ye apka better comprehension aur writing skills bhi achha hoga.
- Stronger grip over language : Regularly Blogging se aap zyada conscious hote jaaoge sentence structures, readability, general grammar aur spellings me, Sath sath apki vocabulary bhi achhi ho jyegi.
09 : Requirements to Start Blogging :
Blogging me aap apna career asani se shuru kar skte ho, start krne ke liye apko sirf in chizon ki zarurat padegi, Joki apko easly available ho skta hain :
- Laptop / Desktop ya Mobile lekin ye quite diffcult hoga pake liye, to agr apke paas laptop/Desktop hoga to achha hai.
- English writing aur Speaking skill hona chahiye tabhi aap research kar paaoge kisi bhi topic ke bare me.
- Internet Connection chahiye aap chahen to mobile data se bhiI chala skte hain.
- Passion joki sabse importent hai.
10 : Some ways to earn from Blog:
Jab bhi aap sochte hain ki blogging se kis trh se paise earn krenge, to advertising sbase pahle mind me ata hai, Yes, WordPress pe ads on kar ke paise earn kar skte hain, lekin uske alawa aur bhi kuchh methods hain jo apke blog content ko monetize kar skte hain :
- Affiliate Marketing : Affiliate Program ko sign up kar ke aap, Apna affiliate link create kar skte hain aur useapne blog me daal skte hain, ab jo bhi apke Affiliate link ko follow karega, to apko referral commission milega. To aap Affiliate Marketing kar ke paise kama skte ho. Ajkal log Amzone flipcart pe affiliate link create kar earning kar rhe hain.
- Display Google AdSense on WordPress : Google Adsense ek easy way hai apne blog se paise earn karne ka aapko apni script add krni hogi google se apne website pe aur fir displaying ads start ho jyega. apko evert time paise milnge jab bhi us add pe koai click krega to.
- Sell Sponsored Blog Posts : Ab kisi company ko apne services ya product ki information degi to vo apko paise denge jisse aap unke product aur services ke bare me likho.
- Get Paid to Write Reviews : Aap kisi product aur services ka review dekr bhi paise earn kar skte ho.
11 : How much earn with a blog?
Blogging ek zariya hai jahan pe aap knowledge aur information ko share karte ho, ye bilkul waisa hi jo news paper humlog daily lete hain.
To kaya Newspaper company earn krti hai ? Newspaper se humlogo ko daily ye pata lgta hai ki kya ho rha hai pure duniya me, So iska matlb hai Newspaper ke paas daily around millions of traffic aur visitors hai, Right ? aur vo millions gharo me newspaper jata hai, To Newspaper ke paas bahut sare companies aur brands ate hain apne products aur service ke promotion ke liye.
To agr apke blog me creative content hai, to log apko pasnd krenge aur jisse apke followers day by day badhenge aur ek din apke paas bhi achhe visitors honge aur blog pe achhi khasi traffic hogi, Fir aap apne blog pe bhi ads lagane ke liye eligible ho jaaoge bilkul newspaper ki tarh. To jitna zyada traffic ayegi apke blog pe utna zyada apko earnings hogi apki.
Bus itna hi, Hame umeed hai ke aapko ye article ( Blogging as a Career ) informative laga hoga. Isi tarah ke aur bhi content ko parhne ke aap Billi4you ko subscribe kare.
Also Read:
- Blogger Kya Hai ?
- 20 Common Beginner Blogging Mistakes In Hindi
- 15 Beginners Blogging Tips To Make You Best Blogger.
- Blogger Ke Liye Google Analytics Tracking ID kaise Find kare
1 comment
Thanks share for this information..and mai kaafi is article se motivate hua hu..aur mai aapke blog ko daily visit krta hu..aur aapke article ko pdta hu..bahot achha lgta hai aapke articles pad ke
Comments are closed.