Hamesha comment section me puchha jata hai ki sabse achha WordPress SEO Plugins and Tools kon-kon sa hai. Kyunki internet par maximum website par traffic gain karne ke liye search engines hi ek major source hai. Search engines ke liye apni website ko optimize karna, apko search results me higher rank gain karne aur business ko grow karne me help kar sakta hai. Isliye iss article me ham Best WordPress SEO plugins and tools apse share karenge jise apko use karna chahiye.
Inme se kuchh tools similar function offer karta hai, Isliye ham ye bhi highlight karenge, ki special use ke case me kon sa plugin sabse achha hai.
WordPress SEO plugins and tools ke bare kuch chizen jise apko zarur janna chahiye :
Jab aap SEO tips padh rahe hoten hain ya “best free WordPress SEO plugins” dhund rahe hoten hain, To aapko bahut sare tools ke features wale articles milenge. Jo beginners aur non-techy users ke liye bahut overwhelming ho sakta hai. Sach to ye hai ki higher search rankings gain karne ke liye apko bahut sare top SEO tools ki zarurat nahi hoti hai.
Jabki maximum blog posts (including ours) top most popular SEO plugins hi share karti hai, aapke liye har ek tools ke uses ko samjhna bahut important hai.
For example, aap kabhi bhi apne website par ek se zayada WordPress SEO plugin ka use nahi karna chahte hain. Ham yaha Yoast, All in One SEO, Rank Math aur SEOPress ko mention karenge. Plugins war se bachne ke liye aapko sirf ek plugin pick karne zarurat hai.
Ham yaha SEMRush, Ahrefs aur kuch other powerful tools ko mention karenge, Lekin agar aap pahli bar shuru kar rahe hain to apko unn sabhi ki zarurat nahi hai, kyunki unke paas similar feature hoten hai. Ham yaha share karenge ki ham apne business me kon sa tool use karte hain aur har ek tools me kon kon si best features hain.
Iske sath hi aaye ham 14 Best WordPress SEO Plugins and Tools ko jante hain :
1. Yoast SEO
Yoast SEO market ka best WordPress SEO plugin hai. Ye ek complete website optimization tool provide karta hai jo apki website ko behtar banane me apki help karta hai. Isse aap bahut hi asani se apne website ke sabhi post aur pages par SEO titles aur descriptions add kar sakte hai. Aap apne article me Open Graph metadata aur social media images add karne ke liye bhi iska use kar sakte hai.
Yoast SEO automatically aapke website ke sabhi content ke liye ek XML sitemap create karta hai jo search engine ko apke website ko crawl karne me asaan banata hai. Aur zayada detail janne ke liye aap iska separate article WordPress Yoast SEO Plugin Install and Setup Kaise Kare ko read kar sakte hai.
Ham wpseekho par yoast SEO plugin ka use on-page SEO meta titles aur descriptions ko optimize karne me help ke liye karte hain, SEO redirects ko manage karte hai, Index settings control kart hain, Sitemap generate karte hai etc.
Jabki, ham sabhi Yoast SEO features jaise content analysis ka use nahi karte hain, kyunki hame lagta hai ki SEMRush jaise maximum comprehensive writing assistant solution ke compare me ye thora kam ho jate hain. To chaliye dekhte hain list ke next SEO tools ko.
2. All in One SEO Pack
All in One SEO ek popular WordPress SEO plugin hai jo apke site ko behtar banane ke liye tools ka ek comprehensive set provide karta hai. Ye apko apne website par asaani se SEO title, meta tags, open graph meta tags, XML sitemaps aur image sitemaps etc add karne ke liye allow karta hai.
Ye SEO ke liye apne online store ko optimize karne ke liye WooCommerce ke sath box se bahar work karta hai. Ye easy setup ke sath ata hai aur ye ek feature manager ka use kar ke different settings tak access ko control karne ke liye aapko allow karta hai.
Agar aap detail me janna chahte hai, ki WordPress me All in One SEO Pack Install and Setup Kaise Kare to ise read kar sakte hai. Aur iska Yoast SEO ke sath comparison ko bhi janna chahte hain to Yoast SEO vs All in One SEO Pack ko read kar sakte hain.
All in One SEO Pack Pro plugin apko aur zayada addons tak access provide karta hai, aur ye yoast SEO ke comparison me bahut affordable solution hai. ye hi wajah hai ki ye market me second popular WordPress SEO plugin hai.
Note: All in One SEO Pack “Yoast SEO ” ka alternate hai. Yaad rakhiye aapko apne site par sirf ek WordPress SEO plugin ki zarurat hai.
3. WP Rocket
Search ranking me Site ki speed ek major factor hai. Uske baad apko ye make sure karne ke liye apni website ke speed aur performance ko monitor karne ki zarurat hoti hai taki ye apke SEO ko affect nahi kare.
Caching enable kar ke apne website ke speed ko improve karna bahut hi asan tarika hai. WP Rocket market me sabse acha caching plugin hai, jo aapko kisi bhi technical stuff me diving ke bina caching setup karne ke liye allow karta hai.
Alternative: WP Super Cache
4. Google Search Console
Google Search Console, website owners ko apne site ko Google search results me presence aur monitor karne aur use maintain rakhne me help karne ke liye, Google ke zariye offered kiya gaya ek free tool hai.
Jab google apke website par pages ko crawl aur index karne me unable hota hai, to ye apko alert karta hai. Apko unn crawl errors ko fix karne ke liye helpful tips bhi milte hai.
Sabse important baat ye hai ki, yaha se ye pata chalta hai ki apki website kis keyword ke liye rank kar rahi hai, anchor texts, average position, impressions, etc. Aap iss data ka use unn keyword ko find karne ke liye kar sakte hai, jahan aap easily apne content ko optimize kar ke higher rank kar sakte hai.
Aur zayada detail me janne ke liye hamare guide Step By Step Google Search Console Guide ko read kar sakte hai. Yoast SEO ek asaan integration ke sath ata hai, jo apke kisi bhi code ko likhe bina search console ko setup karne deta hai.
MonsterInsights, ek other tool hai jise ham baad me mention karnge, ye apko easy access karne ke liye WordPress dashboard ke andar Search Console reports lane me madad karta hai.
5. Google Keyword Planner
Maximum logo ko iss baat ki jaankari nahi hai, ki Log google par search giant ke compare me kiya search kar rahe hain. Kiya aap jante hai ki aap Google Keyword Planner tool ka use kar ke google se apne khud ke keyword ideas paa sakte hain.
Ye free tool Google’s advertisers ko free me diya jata hai aur koi bhi iska use kar sakta hai. Iska main purpose advertisers ko unke advertising campaigns ke liye boli lagane wale keywords ko dikhana hai. Ye advertisers ko search volume, number of results, aur difficulty level ka estimate dikha kar sahi keyword select karne me madad karta hai.
As a content marketer or blogger, Aap iss data ka use high search volume, high advertiser interest aur important keyword dhundne ke liye kar sakte hain jahan aap asaani se sabhi other sites se bahar nikal sakte hain.
6. Keyword Tool
Keyword Tool abhi tak ka sabse achha free keyword research tools me se ek hai. Ye apko sirf keyword type kar ke keyword idea generate karne ke liye allow karta hai. Ye keyword suggestions Google ka autosuggest feature me se ek hai. Ye apko Bing, YouTube, Amazon etc se bhi keyword suggestions bhi show karta hai.
Ye keyword suggestions information ka khazana hai. Aap har ek keyword ke liye search volume, cost per click, aur other data ko unki paid plans me bhi upgrade kar ke paa sakte hai.
7. SEMRush
SEMRush market me sabse achha WordPress SEO plugin hai. Ye professional SEO experts, marketers, bloggers, aur sabhi tarah ke businesses ke zariye use kiya jata hai, Ye aapke website par traffic badhane ke liye tools ka ek comprehensive set provide karta hai.
Aap iska use organic keywords aur terms ko search karne ke liye kar sakte hain, jise aap asaani rank kar sakte hain. Ye aapko competitive research karne aur ye dekhne ke liye allow karta hai, ki apke competitors kis keyword ke liye rank karte hain aur aap unhe kaise beat kar sakte hain.
SEMRush SEO Writing Assistant tool apko apne focus keyword ke liye top 10 results ko beat kar ke apne website content ko improve karne me help karta hai. Ye WordPress ke sath integrates hota hai, aur isse apko aur zayada SEO friendly content likhne me help milega. Detail me janne ke liye ki apne website Ke Liye Keyword Research Kaise Kare, iss bare me hamre guide ko read kar sakte hai.
8. Ahrefs
Ahrefs marketers, bloggers, aur businesses ke liye ek all-in-one SEO tool hai. Ye SEMRush ka ek popular alternative hai aur bahut sara similar tools aur features offer karta hai. Ye apko keyword research, competition analysis, backlink research, monitor keyword rankings etc karne ke liye allow karta hai.
Ye ek detailed content analysis tool hai, jo specific keywords ko target karte hue content ko improve karne me apki help karta hai. Jabki yaha ek bahut badi features overlap rahti hai, Ahrefs real me backlink analysis karta hai. Ham iska use ye dekhne ke liye kar sakte hai ki, kon si sites multiple competitors ko link kar rahi hai. Isse hame aur zayada baklink gain karne aur partnerships banane me help milti hai.
Ahrefs hame ye pahchanne me help karta hai ki hamare multiple competitors kis content ke liye ranking kar rahe hain, taki ham aur zayada jaankari gain karne ke liye unn subjects par content create kar sakte hai. Ahrefs duplicate content aur keyword cannibalization ke behtar pahchan karne me help karta hai. Jo hame hamari ranking ko boost karne ke liye sahi content ko merge aur upgrade karne me madad karta hai.
Upar ke reason ke liey, ham SEMRush aur Ahrefs dono ke liye pay karte hain kyunki wo dono specific use ke mamlon me achhe hain.
9. SEOPress
SEOPress ek asaan lekin bahut hi powerful WordPress SEO plugin hai isme wo sabhi features shamil hai jo aap ek SEO Plugin se expect karte hai – jaise meta title, description, open graph support, image and content XML sitemaps, redirects etc.
Ye beginners ke liye easier setup aur experienced users ke liye advanced controls ke sath ata hai. Market ke sabhi WordPress SEO plugin ke compare me SEOPress ke features ke term ko use karna bahut hi asaan hai.
Kuch users ek bade reasons ke wajah se Yoast SEO par SEOPress ko choose karte hain. Kyunki iska premium version bahut sasta hai aur isi tarah ke aur bhi features ke sath ata hai.
Note : SEOPress “Yoast SEO” ka alternate hai. Yaad rakhe apko apki site par sirf ek WordPress plugin ko use karna hai.
10. Rank Math
Rank Math ek tezi se badhti user-friendly WordPress SEO plugin hai, Jo apko search engine aur social media ke liye apni website ko optimize karne ke liye allow karta hai. Ye ek setup wizard ke sath ata hai, aur apko setup ke dauraan other SEO plugins se data import karne ke liye allow karta hai.
Ye aapko apne blog/ post me meta title, description, and Open Graph metadata add karne ke liye allow karta hai. Plugins apko XML sitemap generate karne , Google Search Console ko connect karne, aur user roles ke based par plugin features ke access ko control karne ke liye allow karta hai.
Note : Rank Math “Yoast SEO” ka alternate hai. Yaad rakhe apko apki site par sirf ek WordPress plugin ko use karna hai.
11. All in One Schema Rich Snippets
Rich Snippets apko apni website ko search results me review ke niche rating star, product ke niche prices, image ya description ke aage video isi tarah se show karne ke liye allow karta hai.
Search Engines iss information ko janne ke liye Schema format me available data ka use karta hai. All in One Schema Rich Snippets uss Schema metadata ko apni website me add kar ke apki website ko optimize karne me apki help karta hai.
Ye reviews, events, people, products, recipes, software apps, videos, aur articles ko Schema content types me support karta hai. Ye apke present WordPress SEO Plugin ke sath achhe se work karta hai.
12. Broken Link Checker
Broken links apki site ke SEO par affect kar sakta hai aur apke users ke liye ke bad experience create kar sakta hai. Agar aap kuch times se blog chala rahe hain, to apko apne site ke broken links ko time to time check karna chahiye aur unhe fix karna chahiye.
Broken Link Checker ek free WordPress plugin hai jo apko apne site par broken links ko dhunde ke liye allow karta hai. Firr aap apne post ko edit kiye bina hi unn links ko fix kar sakte hai. Broken Link Checker ke sath WordPress me broken link ko fix karne ke liye hamare separate article Broken Link Kya Hai ? WordPress me ise Fix Kaise Kare ko read kar sakte hai.
Ye ek bahut hi useful plugin hai, aur ye puri tarah free hai. Iska sirf ye hi downside hai ki ye resource-intensive ho sakta hai aur apke WordPress hosting server ko slow kar sakta hai. WP Engine jaise kuch hosting providers pahle se iss plugin ko bock kar dete hain.
Kyunki ye plugin apke site ko slow kar sakta hai agar apke paas bahut sara content hai, toh ham broken link ka pta lagane ke liye Ahrefs tool ka use karte hain kyunki ye hame make sure karne me help karta hai, ki hamari website hamesha fast rahe.
Bonus: Redirection ek free plugin hai jo apke website par appropriate page par broken links ko redirect karne me madad karta hai.
13. SEOquake
SEOquake website owners ke liye useful SEO tool hai. Ye Google Chrome, Mozilla Firefox, Opera, aur Safari web browsers ke liye as a browser addon available hai. Ye kisi bhi website ke liye SEO related information provide karta hai. Iss data me page health, age, last updated, Alexa rank aur bahut sare other parameters shamil hain.
Ye SEO professionals ke zariye sabse zayada download kiye gaye browser addons me se ke hai. Iske alawa jab aap keyword me type karte hain to SEOquake toolbar aapko sabhi same data ko search results me show kar sakta hai. Agar aap different keywords ke liye competition kar rahe hai to ye information apke liye bahut useful ho sakti hai. Aap CSV format me search results bhi download kar sakte hai aur search data ki apni excel sheets tayyar kar sakte hain.
Bonus Plugins for WordPress Website Owners
SEO ke liye apki website ko optimize karte time ye tools apko additional advantage deti hai. Wo khud ko as SEO tools me advertise nahi karta hai, Lekin wo har website ke liye zaruri hai aur apke website ke search performance me significant role play karta hai.
14. MonsterInsights
Bahut sare beginners apna marketing decisions lene ke liye apne best guess par bharosa karte hain. Apko ye karne ki zarurat nahi ki jab aap apni website ke SEO strategy ko improve kar ne ke liye aaani se information paa sakte hain.
MonsterInsights WordPress ke liye Google Analytics plugin hai. Ye apko Google Analytics ko WordPress me asaani se setup karne ke liye allow karta hai aur WordPress dashboard ke andar human-readable reports show karta hai.
Ye batata hai, ki apke users kahan se arahe hain, apke top content, users apke website par kiya karte hain etc. Ye apke WooCommerce SEO ko track karne ke liye allow karta hai, ye dekh kar ki kon sa products popular hai aur customer ko aap kahan kho rahe hain.
Bonus tip: Aapko dekhna chahiye ki business ko grow karne ke liye aapko apne website par kin kin marketing data ko track karna chahiye.
Ummid hai aapko ye article (Best WordPress SEO Plugins and Tools) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Sticky Posts Kab aur Kaise Create Kare ?
- Step by Step – WordPress SEO Complete Guide for Beginners
- WordPress Me Autoblog Create Kaise Kare ?