Apni website ka regular backup lena aapke website security ke liye ek acchi habit hai. Apne WordPress site ko secure rakhne ke ek best way hai ke aap apne blog ka regular backup len. WordPress plugin directory me bahut se free aur paid wordPress backup plugins available hai, lekin unme se kuch hi full backup provide karte hai. Jub full backup ki baat aati hai to iska matlab hai database ka backup aur “wp-content folder” ka backup. Aaj is post me hum aapko best wordpress plugins ke bare me batayenge. To aaeye dekhte hai Best WordPress Backup Plugins list ko.
Best WordPress Backup Plugins List :
Sab se pahle aapko ye bata den ke website pe backup plugin ki zaroorat kyu hoti hia. Bahut saare blogger ye mistake karte hai ke wo ye apne blog ka backup nahi lete hai. Agar aap un blogger me se hai jo apne blog ka backup nahi lete hai to aap ek big mistake kar rahe hai.
Agar aap apne blog ka regular backup lete hai to aapko apne site ke security ki tension nahi hogi. Agar aapki site hack ho jati hai aur aapke pass apni site ka backup hota hai to aap apni site ko restore kar sakte hai. Agar aap abtak apne site ka backup nahi lete hai to aapko niche diye gaye WordPress backup me se kisi ko apne site ke backup ke liye use karna shuru kar dena chahye taki aap apni site ko secure rakh sake. Apne wordpress blog ka backup lene ke liye aap niche diye gaye link ko follow kar sakte hai.
1. UpdraftPlus
UpdraftPlus internet pe maujood sabse popular WordPress backup plugins me se ek hai. Is plugin ko 2 millions se bhi zyada website ke liye use kiya ja raha hai.
UpdraftPlus aapko aapke wordpress website ka complete backup create karne aur use cloud pe store karne ya computer pe download karne me help karta hai. Is plugin ki help se aap backup ko schedule bhi kar sakte hai aur on-demand backup bhi le sakte hai.
Is plugin ki help se aap apne backup ko automatically Dropbox, Google Drive, S3, Rackspace, FTP, SFTP, email, aur dusre cloud storage services pe store kar sakte hai. Backup lene ke sath hi is ye plugin aapke WordPress admin panel se directly backup ko restore karne me help karta hai. Ye plugin free aur paid dono version me aata hai.
2. VaultPress (Jetpack backups)
VaultPress ka Foundation Matt Mullenweg aur unki team ne Automattic me ki thi. VaultPress ek independent plugin ke taur pe start hua tha, par ab ye Automattic’s ke dusre product JetPack ka part hai.
VaultPress ka use karne ke liye aapko Jetpack ke subscription plan ki zaroorat hogi. Aapko is plugin ke bahut sare pricing plan multiple featurs ke sath mil jayenge.
VaultPress plugin ka automated real-time cloud backup solution $3.50 per month se start hota hai. Aap easily VaultPress backups ko setup kar sakte hai aur backup se restore kar sakte hai. Higjh plan me aapko security aur dusre feature mil jayenge.
Is plugin ka ek downside ye hai ke agar aap low plan lete hai to backup 30 days ke archive ke liye store kiye jate hai. Agar aap unlimited backup archive chahte hai to aapko $29 per month ki payment karni hogi jo beginners ke liye kafi mahnga ho jayega.
3. BackupBuddy
BackupBuddy sab se popular premium WordPress backup Plugin me se ek hai. Is plugin me aap daily, weekly aur monthly backup schedule kar sakte hai. Ye plugin Automatically Dropbox, Amazon S3, Rackspace Cloud, FTP, Stash me backup ko store kar sakta hai. Aap Stash service ki help se apne site ka real-time backup le sakte hai.
Is plugin ko use karne ka sabse bara fayda ye hai ke ye subscription based service hai iskliye aapko monthly based fee pay karne ki zaroorat nahi hogi. Aap apne plan me mention no of sites pe plugin k ause kar sakte hai. Iske sath hi aapko apne backup ko store karne ke liye 1 GB storage, premium support forums, regular updates jaise facility bhi milti hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Best WordPress Backup Plugins ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?