WordPress ke liye bahut se social media plugins available hain, Jisme se Best Social Media Plugins kaun sa hai ye beginners ko choose karne me thoda difficult ho jata hai. Is article men, hum apko WordPress ke liye kuchh Best Social Media Plugins show krenge, jinhe aap just use kar sakte hain.
What to Look for in a WordPress Social Media Plugin ?
WordPress ke liye most social media plugins ke sath main problem hai performance. Chunki in plugin ko additional style-sheets aur scripts load karna hai, to ye aksar website ko slow kar deti hai. To apko apni WordPress website ki features aur performance ke bich balance karna hoga. Bahut sari feature wala ek social media plugin less useful ho sakta hai, Agr ye apki website ko slow kar rha hai aur users experience ko affect kar rha hai to.
Next, Apko ye decide karne ki zarurat hai ki apki website par kaun se social networks zyada prominently display honge. Few options add krne se clutter reduce kiya ja sakta hai, aur ek behtar users experience offer kiya ja sakta hai.
Kai social media plugins apko sidebar me, Article ke niche, article se pahle social icons show krne ke liye allow karte hain. Apko ye decide karna hoga ki aap unhe apni website pe kaise display karna chahte hain. To aaiye ab WordPress ke liye kuchh Best Social Media Plugins pe nazr dalte hain.
1. Shared Counts :
WordPress ke liye social media plugins me Shared Counts fast and easy option hai. Ye most popular social networks ke sath ata hai : Facebook, Twitter, Google+, Stumbleupon, Pinterest, Yummly, and LinkedIn.
Isme apko multiple button styles mil jyenge, Aur aap manually choose kar sakte hain ki apko button kahan pe show krna hai ( Content se pahle ya baad me ). Aap ise custom post types ke liye bhi enable kar sakte hain.
Plugin each network ke liye social share count bhi track krne ki koshish karta hai. Aap sabhi network par total share number ko show krne ke liye choose kar skate hain.
2. Sassy Social Share :
Sassy Social Share plugin WordPress ke liye use krne me easy hai. Ye bhut se different social media websites ke support ke sath ata hai, aur aap post content ke sath sath sticky floating social menu me button bhi add kar sakte ho. Ye social share count feature ko bhi support karta hai. Halnki, kai aur However, other social media plugins ki tarh apko un statistics ko firse janne ke liye third party service ka use krne ki zarurat padegi.
Ye plugin three basic styles ke sath ata hai : rounded, square, aur rectangle buttons. Aap standard aur floating social bars dono ke liye plugin setting me position options set kar sakte hain.
3. AddtoAny :
AddtoAny ek social sharing tool hai jo WordPress plugin ke roop me bhi available hai. Ye kai social media platforms, floating aur standard social sharing bars aur ek universal sharing menu offer karta hai.
Ye bina account create kiye social share count show kar sakta hai aur Google Analytics integration offers karta hai. AddtoAny ke display par ek small footprint hai, jo other similar tools ki compare me global social sharing button ko offer krta hain.
4. WordPress to Buffer :
Buffer ek popular social media tool hai, Jo apko Facebook, Twitter, LinkedIn, etc pe apne post ko schedule lagane ke liye allow karta hai. WordPress to Buffer plugin apko apne Buffer account me automatically new post ko add karne ke liye allow karta hai, taki vo apke social media profiles par share ho sake.
5. Simple Social Icons :
Jaise ke iske naam se hi pata chta hai, Simple Social Icons sidebar widget me social media icon display karta hai. Aap iska color choose kar sakte hain aur fir un social media account ke URL enter kar sakte hain jinhe aap display karna chahte hain.
Isme bhi importent aur popular services ko cover krne wali limited social media platform hai. Iska use karna bahut easy hai aur display par minimal impact padta hai.
6. Social Icons Widget by WPZoom :
Social Icons Widget se aap easly apne WordPress sidebar me social media icons add kar sakte hain. Ye apko three icon styles offer karta hai : rounded borders, round, and square. Aap cahen to icon ke liye custom color ka bhi use kar sakte hain.
7. WordPress Social Login :
Users ko apne social media account ka use krne ke liye register, Login aur comment krne ke liye permission dena chahte hain ? To yesb kuchh karne ke liye apko WordPress Social Login allow karta hai.
Social network ke is wide range me iska support aur use bahut easy hai. Isme users ko Insight, User Manager, Contact Manager aur ek BuddyPress component show krne ke liye modules bhi shamil hai.
8. Social Media Feather :
Social Media Feather ek famous WordPress social media plugins me se ek hai jo social sharing aur follow button offer karta hai. Apke readers comfortably apke content ko share kar sakte hain. Aur ye bhi ki vo ek click ke sath apke followers ban sakte hain.
Halakin, Ye sirf social media sharing aur following plugin hai jo icon resolution options ke sath ata hai. Aap share aur follow button ka position bhi select kar sakte hain, Uske sath sath Icon size, Icons ke bich ki Spacing yesb bhi select kar skate hain.
9. Instagram Feed :
WordPress me apne Instagram photos ko display karna chate hain ? To Instagram Feed ka use kar ke aap apne WordPress me Instagram photos ko display kar sakte hain.
Apko Instagram access token generate karna hoga, Uske baad aap posts, pages, or sidebar widgets kahin bhi feed ko display karne ke liye available short-code ka use kar sakte hain. Ye apko short-code parameters ko customize karke kai feed banane ke liye allow karta hai. Aap ek feed banane ke liye kai Instagram account bhi la sakte hain
10. Better Click to Tweet :
Apne kai popular blogs par customize quote boxes dekhe honge jo users ko twitter par easly Quotes sahre krne ke liye allow karta hai. Better Click to Tweet apko apne WordPress post ke liye quote boxes ko tweet krne ke liye isi tarh ke click ko Add krne ke liye allow karta hai.
Ummid hai aapko ye article( Best Social Media Plugins ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Images Pe No Right Click Add Kaise Kare ?
- WordPress Website Reset Kaise Kare – Complete Guide
- WordPress Posts Me Special Character Add Kaise Kare ?
- 5 Best WordPress Business Directory Plugins (2020)