Best chrome extensions 2018: Kya Aap chrome web store pe Available hazaro chrome extension ko dekh kar confusion me hai. To ab aapki confusion khatm ho gayegi kyu ki is article me hum aapko kuch aise Google chrome extension ke bare me batayenge jiski madad se aap ki saari confusion khatm ho jayegi.
Best Chrome Extensions
Privacy and Security:
Internet Ko enjoy karne ka pahla step security hai. Agar aap ye feel karte hai ke aap secure hai to aap use beshak enjoy larenge. To Online presence ko enjoy karne ke liye aap niche diye gaye Privacy and security chrome extension ka use kar sakte hai.
Click&Clean
Kya aap apna computer kisi dusre ke sath share karte hai, ya phir track karne wale site pe bharosa rakhte hai agar aisa hai to aap ke liye click&clean best chrome extension hai
Click&Clean aapko URLs delete karne, cache clear karne, cookies ko remove karne aur download aur browsing history ko single click me delete karne ki facility deta hai
Panic Button
Kya apko kabhi bhi apne chrome tab ko kisi se chupane ki zaroorat pari hai. kabhi kabhi hamare sath aisa bhi hota hai ke hum kisi ke liye kuch surprize gift lena chahte hai aur online search kar rahe hote hai aur hame jise gift dena hota hai wo hamare samne aa jata hai to aise me panic button bahut kaam aa sakta hai. Panic button ki mada se aap apne sabhi opens tabs ko single click me hide aur save kar sakte hai.
Aur iska best part ye hai ke ye password protected hota hai isliye sirf aap hi ise resume kar sakte hai.
Speed Dial 2
Speed Dial 2 ek naya page replacement tab hai. Ye aapko aapke dwara visit ki gayi sites, aapke Bookmark aur aapke browsing history tak fast access provide karta hai.
App aapke sabhi Device me Sync ho jata hai isliye aap web ko kaise access kar rahe hai ispe dhyan diye bina aapke pass har jagah ek hi experience hoga.
Black Menu
Agar aap Google ki services ke suit pe zyada bharosa karte hai to ye Extension aapke bahut se waqt ko bachayega. Jub aap ispe click karegen to ye aapko ek Pop-up menu dikhayega jo aapko apne sabhi use kiye jane wale Google products pe ek click me access provide karega.
PushBullet
Pushbullet aapke PC aur Phone ko ek sath laane ka kaam karta hai. Yah aapko sidhe apne browser me apne iPhone ya Android se alert prapt karne ki suvidha provide karata hai, aur media aur dusre content ko aasani se share kerne ka ek tareeqa provide karta hai. Jo App aapke liye important nahi hai use aap Mute kar sakte hai aur kuch App pe direct apne computer se respond kar sakte hai.
Also Read: Best Free Antivirus Software For Windows
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.