Hum sabhi jante hai hamari website ki ranking me Backlink kitna important role play karta hai. Ek acchi website se mili Backlink jis tarah se hamare organic search ko badhati hai theek usi tarah se agar humari website pe Bad Backlinks ban jaye to wo hamari website ko bahut nuksan pahnchati hai. Agar hum apni website pe Bad Backlinks bana lete hai to wo hamari site ki Authority ko downn kar deti hai, aur is wajah se hamari website ki ranking down ho jati hai. Aaj hum aapko is post me yahi batane wale hai ke Bad Backlink kya hai? Aur hum unhe apni website se Bad Backlinks k ko remove kaise kare.
Bad Backlinks kya hai?
Bad Backlinks aise Backlinks hote hai jo hamari website ke liye bahut harmful hote hai aur jjinke banne ke baad hamari website ki ranking down ho jati hai. Kayi baar Bad Baklinks ki wajah se Google aapke website ko block bhi kar deta hai. Har webmaster SEO kar ke apni website ko high rank karana chahta hai lekin kabhi kabhi aisa bhi hota hai ke hum ghalti se apni website pe aise backlinks bana lette hai jo hamari website ke liye harmful hote hai.
To aaeye jante hai ke hum apni website se bad Backlinks ko remove kaise kare. Bad Backlinks ke bahut sare type hote hai jinme se kuch niche diye gaye hai.
- 404 Error page Backlinks
- Adult Website Backlinks
- Low-Quality site Backlinks
- Automated tool Backlinks
Bad Backlinks ke Nuksan
Hum sabhi jante hai ke bad baklinks hamari website ke search rank ko down kar deti hai. Aur agar hum apni website se backlinks ko remove na kare to dheere dheere hamari website search result me hi nahi aati hai.
Search ranking ko down karne ke sath hi bad Backlinks hamare website pe unrelated traffic lati hai jiski wajah se hamari website ka Dwell time kharab ho jata hai aur hamari website ki ranking down ho jati hai.
Iske alawa agar aapke website pe zyada bad Backlinks hone pe Google aise website ko penalty bhi de deta hai aur aapki website ko block kar sakta hai aur aisa hone pe aapki site google me show hi nahi hogi.
Bad Backlinks ka Pata Kaise Kare
Bad Backlinks ka pata lagana bahut aasan hai. Bad Backlinks ko hum kaise find kare iska poora step niche diya gaya hai jiski help se aap apne blog pe bad backlinks ka pata laga sakte hai.
Step 1.
- Apne Google Webmaster ko open kare.
- Ab aap niche scroll kar ke Links ke option pe click kare.
- Aapke samne aapke webbsite se link kiye gaye sabhi site ki detail aa jayegi. Poori list ko dekhne ke liye aap more ke option pe click kare.
Step 2.
- Ab backlinks ka pata lagne ke baad aap is list o download bhi kar sakte hai.
- Download ke sign pe click kar ke aap link ki list ko download kar sakte hai.
Ab aapke pass bad backlinks ki list mil gayi hai ab aapko in backlinks ko apne website se hatana hoga. In links ko hatane ke liye aap Disvow tool ka use kar sakte hai. To aaeye dekhte hai ke Disvow tool ki help se kaise backlink ko remove kare.
Bad Backlinks ko kaise Remove kare
Bad backlinks ki list ko remove karne ke liye aapko Disvow tool ka use karna hoga. Sab se pahle aap bad backlinks ki txt file ready kar le, aapko is list ko hi disvow tool me submit kar apni website se bad backlinks ko remove karna hai.
- sab se pahle apne Google Disvow tool pe me visit kare.
- Disvow tool pe jane ke baad aapko un backlinks ko remove karna hai. rEmopve karne ke liye aapko Disvow link ke button pe click karna hoga.
- Ab aapko us text file ko select karna jisme aapke Bad Backlinks ki list thi. File ko selcet karne ke baad aapko submitt button pe click karna hai.
- aur finally aapko Done button pe click karna hai.
upar ke step ko agar aapne theek se follow kiya hoga to aapne apni site se successfully Bad Backlinks ko delete kar diya hoga. Ab aapki site pe in links ka koi bhi asar nahi hoga aur aapki search ranking improve hoti rahegi.
Umeed hai aapke liye ye article Bad Backlinks kya hai? informative hoga. Isi tarah ki aur bhi information ke liye aap hamare post ko padhte rahye.
Also Read: Website Spam Score ko Check Aur Fix Kaise Kare