What is Android SDK
Software development kit (SDK) ek software development tool hai jo developers ko Android platform ke liye Applications develop karne ke liye capable bananta hai. Android SDK ka matlab hai ki developers Android studio ki help se Android Operating system ke liye App develop kar sakte hai.
Android Application develop karne ke liye Android developers ko kuch tools ki zaroorat hoti hai aur Android SDK Application ko develop karne me in tools ke requirement ko poora karta hai. Android SDK me wo sabhi Tools hote hai jo Android Applications ko create karne, compile karne, aur package karne ke liye zaroori hote hai.
Android Software development kit me sourse code ke sath sample project, development tool, aur application develop karne ke liye required library milti hai. Sabhi Application ko java me develop kiya jata hai aur virtual machine me run kiya jata hai.
What is Android Studio
Android studio Android development ke liye Google ka official Integrated Development Environment (IDE) hai jise bilkul free me use kiya ja sakta hai. Android studio dusre IDE se behtar hai kyu ki isme hum simply drag and drop kar ke layout design kar sakte hai. Android studio ki tarah hi market me aur bhi IDE available hai par Android studio un sabhi me best hai kyu ki
- Ye use karne me simple aur aasan hai.
- Ye built-in Google cloud support karta hai.
- Isme high Ram aur high CPU speed ki zaroorat nahi hoti hai.
- Ye Google ka official IDE hai jo drag and drop ki facility provide karta hai.
- Gradle integration, jo code aur resources ko reuse karne ke liye allow karta hai.