WordPress me ‘Destination folder already exists’ error usually Theme aur plugin ko install karne ke dauran hoti hai jo aapko installation process ko finish karne se rokti hai. Is article me hum aapko batayenge WordPress Me Destination Folder Already Exists Error Ko Kaise Fix Kare ?
Ye error tab hota hai jub hum kisi theme ya plugin ko install karne ki koshish karte hai. WordPress theme ya plugin ki zip file ko file ke naam pe ek folder me extract karta hai.
Agar same name wala folder pahle se maujood hai to wordpress installation proces ko niche diye gaye message ke sath abort kar deta hai.
Destination folder already exists. /home/user/example.com/wp-content/plugins/wpforms/
Plugin install failed.
Is problem ke aane pe sabse pahle jo chiz aapko karni hai wo hai theme ya plugin page pe ja kar ye dekhna ke aapne pahle se is plugin ko site pe install kar rakha hai ke nahi. Agar plugin installed nahi hai to do bate hai jo ho sakti hai.
- Pahla ye ke plugin aur theme ko uninstall karne ka pahla attempt jo tha wo sahi dhang se perform nahi huya hoga aur plugin / theme folder rah gya hoga.
- Ya phir previous installation attempt intrrupt ho gya ho aur empty destination folder rah gya ho.
In cases me aap jis plugin ya theme ko install karne ki koshish kar rahe hai usi naam ka folder pahle se exist kar raha hai. Ye folder WordPress ko installation ko complete karne se rok raha hai. To aaeye dekhte hai ke WordPress me destination folder already exists error ko kaise fix kare.
WordPress Me Destination Folder Already Exists Error Ko Kaise Fix Kare ?
Destination folder already exists error fix karne ke liye aapko sabse pahle FTP client ya cPanel File manager ki help se apne website se connect hona hoga.
Connect ho jane ke baad aapko /wp-content/plugins/ or /wp-content/themes/ folder me jana hoga. Ab us plugin ya theme ke naam ko dhundhe jise aap delete karna chahte hai.
Ab aapko apne WordPress admin area me jakar plugin ya theme ko normally jis tarah se aap install karte hai usi tarah se install karne ki koshish karni hogi. Aap bina kisi error ke plugin ko install karne me capable ho jayenge.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Destination Folder Already Exists Error Ko Kaise Fix Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?