WordPress Me Sidebar Kya Hai : WordPress me sidebar ek aisa area hota hai jo main content ka part nahi hota hai aur WordPress theme information ko display karne ke liye sidebar ka use karta hai. Ye hamesha vertical column nahi hota hai. Ye horizontal bhi ho skata hai, content area ke upper footer, header, ya theme me kahi pe bhi ho sakta hai.
Sidebar Theme Ka Feature :
Sidebar theme ka feature hota hai. Kisi bhi theme me kam se kam ek sidebar zaroor hota hai, joki main content ke left ya right side me ho sakta hai. Sidebar me usually widget hota hai jise website ka administrator customize karta hai.
Sidebar ka use theme design ke choice ke according vary aur depend karta hai. Bahut sare theme multiple sidebar ko support karte hai jise widget ready area bhi kahte hai.
Sidebar website ke main content ke ke alawa dusre content ko display karne ke liye WordPress website ke layout ko design karne me help karta hai. Jaise- recent article ka shortlist, recent comment, pages ki list, aur webside ke popular article ki list ko aasani se sidebar ki help se display kiye ja sakte hai.
Sidebar ka use hum third-party se advertisement display karne ke liye bhi karte hai. User admin panel ke Appearance me Widget section me ja kar simply drag and drop kar ke sidebar me items ko add kar sakte hai. Kuch theme high configuration ke sath website ke different section ke liye dynamic layout create karne ke liye aate hai, jiski help se user apne khud ka sidebar drag and drop interface ka use kar ke add kar sakte hai.
Sidebar Me Widgets Kaise Add Kare :
- WordPress blog pr sidebar widgets add krna bahut easy hai doston aapko Appearance>Widgets pr click krna hai.
- Ab aapke samne widgets ka ek page open hoga jisme left side m wordpress ke Available widgets honge or right side mai aapke blog ke right sidebar widgets area hoga.
- Aapko jo bhi widget lgana hai aapne left side se drag krke right side apne mutabik set kr dena hai.
Aur aap step by step dekhna chahte hain ki WordPress me Widgets add aur use kaise kare || WordPress me Contact form kaise create kare to aap ispe click kar ke dekh sakte hain.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Me Sidebar Kya Hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?