Apne blog ko Blogspot se WordPress blogging platform pe import karna aapke blog post aur dusre content ko aapke naye wordpress site pe move kar dega. Lekin ye aapke blogger reader ko automatically redirect nahi karega. Automatic Redirecting Blogspot WordPress Setup ke liye aapko apne wordpress blog pe Blogger to WordPress Redirection plugin ka use karna hoga. Is utility ki help se aapko ek code milega jise aapko apne blogger blog template me paste karna hoga taki aapke sabhi visitors wordpress site pe automatically forward ho sake.
Blogger ko WordPress pe import karne ke liye aap niche diye gaye link ko follow kare.
Redirecting Blogspot WordPress- Step By Step Guide :
Search engine ko ye batatne ke liye ke aapki website ek naye location pe move ho gayi hai aapko apne blogspot ko naye location pe redirecr karna hoga. Redirection ka main motive ye hona chahaye ke aapke user aapke naye site pe usi same page pe land kare jise wo old site pe access karna chah rahe hai.
Blogspot ko wordpress pe redirect karne ke liye aapko Blogger to WordPress Redirection plugin ko install karna hoga. Plugins ko install karne ke liye aap niche diye gaye guide ko follow kar sakte hai.
Plugin install ho jane ke baad aapko Tools me Blogger to WordPress Redirection page pe ja kar ‘Start Configuration’ button pe click karna hai.
Ab plugin aapke blogger blog ke URL ko detect kar lega aur aapko Get Redirection Code ka option provide karega. Blogger URL ke next me Code ke liye ‘Get Code’ button pe click kare.
Ab aapke samne code snippet generate ho jayega jise aap apne user ko properly blogger se wordpress pe redirect karne ke liye use kar sakte hai.
Ab aapko apne blogger account me login karna hai aur ‘Theme’ ke option me jana hai. Blog preview image ke niche aapko “Edit HTML” button pe click karna hai.
Blogger ab aapke samne Theme ke custom HTML code ko display karega. Agar aapne apne blogger theme me koi customization kiya hai to aap code ki copy bana sakte hai aur computer me backup ke liye save kar sakte hai.
Ab aap apne wordpress site pe jaye aur plugin ke generate kiye gaye code ko copy kare aur Blogger theme editor me paste kar den.
Changes ko store karne ke liye ‘Save theme’ button pe click kare.
Ab aapko mobile user ke liye redirect create karna hoga. Iske liye aapko Blogger blog’s dashboard me jane ke liye back hona hoga. Is baar aapko blog ke mobile preview ke niche gear button pe click karna hoga.
Gear icon pe clcik karne se aapke samne ek pop-up appear hoga, jahan pe aapko ‘No. Show desktop theme on mobile devices’ option ko select karna hai aur Save Button pe click karna hai.
Ab blogger blog aapke sabhi blog visitor ko aapke naye site pe redirect kar dega.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Redirecting Blogspot WordPress ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?