Troubleshooting ke liye kayi baar hame sabhi WordPress plugins deactivate karne ke liye recommend kiya jata hai. Plugins deactivate karne ke baad one by one activate karne se hame pata chal jata hai ke kaunse plugin ka combination error create kar raha hai. Is article me hum aapko batayenge ‘How to deactivate all WordPress Plugins’.
How to Deactivate all WordPress Plugins ?
Plugins ko disable karne ke do option hai. Pahla aap FTP ki help se aur dusra phpMyAdmin ke use se.
Deactivate All Plugins Using FTP :
Is method ka use karne ke liye aap ya to FTP client ka use kar sakte hai ya phir File Manager ki help se kar sakte hai. File manager aur FTP client method ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
- WordPress me File Manager ki help se file uplod kaise kare
- WordPress me file upload karne ke liye FTP ka use kaise kare
Plugins ko deactivate karne ke liye aapko sabse pahle FTP client ki help se apne site se connect hona hoga.
Connect hone ke baad aapko /wp-content/ folder me jana hoga. wp-content folder me aapko Plugin folder dikhega. Plugin folder pe right click kar ke aap Rename ke option ko select kare.
Plugins Folder ke naam ko aap kisi bhi dusre naam me change kar sakte hai jaise plugin-new. Folder ko rename karne ke bad
Usually ye method tab use kiya jata hai jub aap apne admin area me login nahi kar pate hai. Agar issue aapke plugin ka hoga to aap aapne wordpress admin area me login kar payenge.
Ab aap apne /wp-content/ folder me phir se jaye aur aur apne plugin folder ko Plugin naam se phir se save kar den. Ab apne plugin ko one by one kar ke activate kare. Jis plugin ki wajah se problem hogi aapko pata chal jayega.
Deactivate all plugins using phpMyAdmin :
FTP method ke alawa aap ane plugin ko phpMyAdmin method se bhi deactivate kar sakte hai.
Sabse pahle aapko apne web hosting dashboard me login karna hoga. Yahan pe aapko cPanel dashboard dilkhaya gaya hai, aapka hosting account dashboard different dikh sakta hai.
Aap cPanel ke database section me ja kar phpMyAdmin icon pe click kar sakte hai. Click karne ke baad phpMyAdmin ek naye window me open ho jayega. Aapko WordPress database ke option ko select karna hoga, phir aapke samne wordpress database table open ho jayega.
Table me aapko wp_options table pe clcik karna hoga. wp_options table ke andar aapko bahut sare options dikhenge. Aapko Active plugins ke option ko select karna hia, aur uske edit option me jana hai.
Next screen pe aapko option value ko a:0:{} me change karna hai. Uske baad aap Go button pe ja kar save karna hai.
Aap ne plugins ko phpMyAdmine method se deactivate kar diya hai. Agar plugin ka issue hua to aapki problem solve ho jayegi.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( How to deactivate all WordPress Plugins ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?