Free Blog Kaise Start Kare :- Agar aap ek free WordPress blog start karne chahte hai to Beginners ke liye WordPress.com best option hai. WordPress ne apne un naye blogger ke liye is Platform ko introduce kiya hai jo WordPress ko samajhna chahte hai aur WordPress pe apna blog start karna chahte hai. Ye un beginners ke liye bahut helpful hai jo ye janna chahte hai ke kaise sign up kare aur apna pahla blog post likhna kaise start kare.
Aapko bata den ke free WordPress blog ek free WordPress blog start karne liye accha hai lekin technically self-hosted WordPress blog ek professional side hai, kyuki yahan pe aapko apne blog pe full control milega.
Agar aap ek beginner hai to aapke liye WordPress.com pe free WordPress blog, blogging ki duniya me enter karne ke liye accha option hai. WordPress.com platform ka biggest limitation ye hai ke aap kuch popular add platform jaise AdSense se apne site ko monetize nahi kar sakte hai. Self-hosted WordPress ke benefits ko janne ke liye hamare is article ko parhe WordPress.com vs WordPress.org – Kis Blog Platform ka use kare. To aaeye dekhte hai ke WordPress.com pe free WordPress blog kaise create kare:-
WordPress.com Pe Free Blog Kaise Start Kare Step by Step Guide :
Step 1 : WordPress.com pe Free WordPress blog create karne ke liye is link pe click kare aur Create your site pe tap kare.
Step 2 : Next page pe aapse account create karne ke liye kaha jayege. Apna detail enter kare aur Create your account pe tap kare.
Step 3 : Account Create karne ke baad aapse kuch questions pooche jayenge uska answer den aur continue pe click kare. Question ka answer dene se se pahle is baat ko decide pahle se kar le ke aap kis tarah ka site banana chahte hai.
Step 4 : Is step me aapko apne blog ka naam select karna hai. Agar aap free plan lenge to By default wordpress .wordpress domain name ka use karta hai. Aaap apne blog ko professional dikhne ke liye yourname.blog, yourname.org jaise custom domain name ka use kar sakte hai. Custom domain name ka use karne ke liye aap ko apne plan ko premium me upgrade karna hoga. Hume free WordPress blog ke liye free WordPress.com domain name hi lena chahye.
Step 5 : Aapka enter kiye gaye WordPress.com domain name ko select kare.
Step 6 : Agar aapka dala gya naam available na ho to usme kuch changes kare aur apne site ka address select kare.
Step 7 : US plan ko select kare jo aapke liye suitable ho. Hum ek free WordPress blog create kar rahe hai isliye hame Start with Free ke option pe click karna hoga.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Free Blog Kaise Start Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?