Kiya aap apne website ke liye Best WordPress Gallery Plugin dhund rahe hain ? Market me bahut sare WordPress photo gallery plugins available hain lekin problem ye hai ki maximum plugin apke site ko slow kar deti hai ya to usko use karna behad mushkil hota hai. Sahi solution choose karne me apke help ke liye, hamne best WordPress photo gallery plugins ke performance, features, aur quality ki detail me comparison ki hai. Hamara goal apko Best WordPress Gallery Plugin dhundne me help karna hai jo fast, easy to use, aur usme wo sabhi features ho jinki apko zarurat hai.
Best WordPress Gallery Plugin Ke Criteria
Mera manna hai ki, Ek Best WordPress gallery plugin fast, easy to use, aur usme wo sabhi features honi chahiye jo beautiful galleries (jaise – lightboxes, image navigation, albums, pagination, etc) asaani se create kar sakta ho. Gallery plugin ko ek achha experience user offer karna chahiye aur sath hi apki image ke SEO me improvement lane ke liye help karnai chahiye.
4 Best WordPress Gallery Plugins :
Hamne plugin platform se 4 most popular WordPress photo gallery plugins choose kiya hai. To chaliye hamlog 4 most popular WordPress photo gallery plugins ke comparison ke sath uske speed, ease to use aur features ko dekhenge.
Speed :
WordPress gallery plugin choose karne ke liye sabse important chiz uski speed hoti hai. Ye apke site ke SEO aur site ke user experience ko bahut affect karta hai. Agar aap portfolio ya photography site ke liye gallery plugins ka use kar rahe hain to uski speed se kabhi bhi compromise nahi kare.
Hmane kisi bhi default settings ko modify kiye bina same images ka use karte hue inn sabhi plugins ke liye speed test chalaya hai. Niche hamare results hain :
Gallery Plugin | Page Load Time | Requests | Page Size |
---|---|---|---|
Envira Gallery | 655 ms | 23 | 988KB |
Modula | 696 ms | 28 | 948 KB |
NextGEN | 867 ms | 35 | 1.0 MB |
FooGallery | 917 ms | 27 | 591 |
Jaisa ke aap upar diye gaye result me dekh sakte hain, Envira Gallery sabse fastest loading WordPress image gallery plugin hai. Modula mushkil se kuch milliseconds ke difference ke sath aur chhote page size ke sath dusre namber par fastest loading WordPress image gallery plugin hai.
Envira Gallery aur Modula itni fast plugin kyun hai ? Iska reason ye hai ki ye dono hi well coded aur highly optimized plugin hai. Agar performance aur speed aapka main concern hai ( jo hona chahiye ), To Modula aur Envira Gallery dono hi great option hai.
Winner: Ye Envira Gallery aur Modula ke bich ek tie hai.
Ease to Use :
Image galleries create karna, apne post par single image upload karne jitna asaan nahi hai. Iske liye aapko layouts choose karne, columns choose karne, thumbnail sizes add karne, lightbox animations choose karne etc ki zarurat hoti hai. Maximum beginners iss process ko kafi bhari samjhte hain, Isliye yaha hamlog WordPress photo gallery plugin ko janenge jo same time me powerful aur beginner friendly dono hi ho.
Envira Gallery
‘Envira Gallery’ WordPress coding definition aur best practices ko follow karta hai. Ye ek user interface provide karta hai jo apke WordPress admin area me mix ho jata hai. Envira Gallery se new gallery create karna kafi asaan aur beginner friendly hai.
Envira Gallery bhi Gutenberg block ke sath aata hai, jisse aap kisi bhi WordPress post aur page me “photo galleries” add kar sakte hain. Aap post edit screen se hi gallery settings bhi change kar sakte hain.
Editor users aapke post/page me kisi bhi gallery or album ko add karne ke liye post editor ke upar shortcode ya button ka use kar sakte hain.
Envira Gallery aapko template tag bhi show karta hai jise aap apne WordPress templates me use kar sakte hain. Aur agar aap kisi client ke liye ek site develop kar rahe hain aur direct uske galleries me theme shamil karna chahte hain to ye karna bahut asan hai.
Modula
New photo gallery create karne ke liye Modula Gallery ek similar approach ka use karti hai. Isme aap photo gallery create karne ke liye bass apni files upload kar sakte hain ya media library se unhe choose kar sakte hain.
Images ke niche, aapko tab me organized sabhi gallery settings milegi. Yaha se aap gallery style, theme, lightbox, aur other settings change kar sakte hain. Gallery ko WordPress posts aur pages me insert karne ke liye, aapko gallery ke shortcode copy karna hoga aur Gutenberg editor me “shortcode block” ka use kar ke copy kiye gaye shortcode ko insert karna hoga.
Modula me users ke liye WordPress posts aur pages me asaani se Gallery insert karrne ke liye koi sidebar widgets ya Gutenberg blocks nahi hai.
FooGallery
FooGallery, Envira Gallery aur Modula ka ek jaisa hi access hai. FooGallery ek simple user interface ka use karta ha aur iska looks and feels bilkul WordPress ke jaisa hai.
Apne images ko upload karne ke baad, aap images ke niche details me gallery settings kar sakte hain. FooGallery bhi photo galleries ko WordPress posts aur pages me insert karne ke liye asaan banata hai. WordPress me kahin bhi apni photo galleries display karne ke liye aap built-in Gutenberg block, shortcode, ya sidebar widget ka use kar sakte hain. Ye galleries ko select karne aur insert karne ke liye Classic Editor ke top par ek button bhi add kar sakta hai.
Envira Gallery ke oppose me, FooGallery theme files ya templates me apni galleries insert karne ke liye template tag show nahi karti hai.
NextGEN Gallery
NextGEN hamare baki three contenders se thora alag hai. Ye apne images ko store karne ke liye apna khud ka user interface, database tables, aur separate folders lata hai. Isi reason ke wajah se NextGEN ka user interface thora mushkil dikhta hai.
Ye ek gallery wizard offer karta hai jo beginners ke liye bhut helpful ho sakta hai. Jabki users ko ye samjhne me kuch time lagega ki kaise Images ko upload kare aur kaise Gallery create kare. Aapko gallary ko WordPress posts aur pages me add karne me bhi mushkil ho sakta hai.
NextGen ek Gutenberg block add karta hai, jo apko post edit screen se gallary create aur add karne ke liye allow karta hai. Editor users ke liye, ye post editor button bhi add karta hai.
Winner: Koi bhi clear winner nahi hai, Envira, Modula, aur Foo Gallery sabhi easy to use interface provide karta hai.
Features :
Ek beautiful photo gallery create karne ke liye, aapko lightboxes, full-screen mode, albums, pagination, navigation, slideshow, password protection, EXIF metadata, social media sharing etc Jaise functionality ki zaruat hoti hai.
Jabki ye yaad rakhna bahut important hai ki bhut si feature apke site ko slow kar sakti hai, To chaliye dekhte hai ki hamare contenders features aur functionality ko kaise sambhalte hain.
Envira Gallery
Envira Gallery ek first access ke sath banaya gaya hai, iska matlab hai ki ye poori tarah se box se bahar hai. Ye single user interface se apki images ke liye apko asani se meta tags add karne, thumbnail sizes, animations aur gallery layouts choose karne ke liye allow karta hai.
Yaha Built-in features ke alawa, unn features ka load hai jinhe aap addons install kar ke add kar sakte hain jaise – gallery templates, social sharing, videos, password protection, image protection, albums, slideshow, Pinterest, image proofing, WooCommerce support etc.
Modula
‘Modula’ hamari list ke sabhi WordPress gallery plugins me sabse new hai, isliye unke paas advanced features nahi hai. Jabki plugin un sabhi basic features ko cover karta hai jo aap WordPress gallery me chahte hain jaise – lightbox popup, social sharing, custom styles, grid layouts etc.
Ye ek custom grid features ke sath ata hai jo apko galleries ke liye khud ka custom grid create karne ke liye simple drag and drop use karne ke liye allow karta hai. Isme video galleries create karne ke liye video addon bhi hai. Jabki Modula me albums, watermarking, proofing, aur gallery templates jaise other features ki kami hai.
FooGallery
FooGallery kafi powerful features ke sath aata hai jabki ye mobile responsive nahi hai. Ye responsive photo gallery ke liye ek responsive template ko choose kar sakta hai. Isme ek lightbox feature bhi hota hai. Aap lightbox functionality add karne ke liye free “Foobox plugin” ko install kar sakte hain, lekin hamne feel kiya hai ki ise core gallery plugin ke sath pack kiya jana chahiye.
FooGallery bhi extenssion ke sath ata hai jise aap custom branding, cube effect, lightbox etc jaise aur features ko add karne ke liye install kar sakte hain.
NextGEN Gallery
NextGEN Gallery upar diye gaye sabhi four plugin me sabse old hai, aur ye features ke ek extensive list ke sath ata hai. Envira aur Foo, me as addons available sare features me se bahut se features, NextGEN gallery me box se bahar available hai. NextGEN gallery me bahut sare features ke sath premium addon bhi hai jinhe aap install kar sakte hain.
Maximum NextGEN features ko plugin ke sath ek certain level ki pahchan ki zarurat hoti hai. Users ko sari chizen smjhne, documentation ko padhne, aur support forums me questions post karne ke liye kuch waqt ki zarurat hogi.
Winner: Yaha Envira Gallery clear winner hai, jisme photographers, eCommerce websites, aur portfolios ke liye sabhi basics + advanced features ko shamil karne wali features ki detaild list hai. ‘NextGEN features’ upar diye sabhi Best WordPress Gallery Plugins ke features ko compare karne ke baad second postion par ata hai.
Compatability :
WordPress apko apni site ko ek web host se dusre web host par aur yaha tak ki different competitors tak le jane ke liye poora azadi deta hai.
Hame inn sare plugin me ye dekhne ki zarurat hai ki, ham apne photo gallery data ko asani se import/export aur backup kar sakte hain ya nahi.
Envira Gallery
‘Envira’ WordPress database me apke sabhi photo galleries ko custom post types me stores karta hai. Ye default WordPress media location ka use kar ke apki media files ko store karta hai. Iska matlab ye hai ki agar aap apne WordPress site ka backup lete hai to apke paas sabhi Envira Gallery data backed up aajaega.
Envira apko apni individual galleries ko import/export karne ke liye bhi allow karta hai. Iska matlab ye hai ki aap ek gallery ko apne WordPress site se dusre site me move kar sakte hain.
Jab aap apne WordPress site ko move karte hai to Envira automatically uska pata lagta hai aur aapko migration ko fix karne ke liye option show karta hai. Ye sabhi features envira plugin ko WordPress ke liye trustable photo gallery plugin banata hai.
Modula
Modula apki photo galleries ko store karne ke liye ek custom WordPress content type ka bhi use karta hai. Iska matlab ye hai ki aap apne WordPress backup ke sath apne photo gallery ko bacha sakte hain. Aur jab aap backup se apne WordPress site ko restore karte hain to aap uhne restore kar sakte hai. Modula apko individual galleries ko import/export karne ke liye allow nahi karta hai.
FooGallery
Envira ki tarah FooGallery bhi WordPress database me apke sabhi photo galleries ko custom post types me stores karta hai. Agar aap apne WordPress site ka backup lete hain to apke pass FooGallery data backup aajaega.
Jabki agar aap sirf individual galleries ko import karna chahte hain to uske liye koi option nahi hain. Kyunki plugin import/export feature ke sath nahi ata hai.
NextGEN Gallery
NextGEN gallery import/export feature ke sath nahi ata hai. Kyunki ye apke data ko alag alag database tables me store karta hai, iska matlab ye hai ki apko unn tables ko shamil karne ke liye apne WordPress backup plugin ko configure karna hoga.
NextGEN apke images ko ek alag folder me bhi store karta hai. Agra aap unke liye bhi ek backup create karna chahte hain to apko apne computer par alag se ek folder download karna hoga.
Envira aur FooGallery dono NextGen importers ko offer karti hai, taki users ko apne platform par switch karna asan ho jaye.
Winner: Enivra Gallery apki photo galleries ko import/export karne ke liye tools ka sabse achha set provide karta hai.
Pricing :
Sabhi four plugins “WordPress plugin directory” me free WordPress gallery version me available hai. Inn sabhi ko zayada features ke liye paid kar ke upgrades kar sakte hai. Apke photo gallery plugin ki price features aur apke zariye select kiye gaye kisi bhi plugin ke plan ke based par hogi. Aap free versions try karne ke baad apne according koi bhi plan choose kar sakte hain.
Winner: Yaha koi clear winner nahi hai -products ki price apke ke liye features aur apke zariye select kiye gaye plan ke based par hogi.
Conclusion :
Agar aap ek simple aur fast solution ke talash me hain to Envira Gallery and Modula Gallery dono hi WordPress gallery plugin liye ek great option hai. Agar aapko advanced features ki zarurat hai to NextGen gallery bhi ek best option hai.
Ummid hai aapko ye article (Best WordPress SEO Plugins and Tools) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress me IP Address Block Kaise Kare
- 14 Best WordPress SEO Plugins and Tools – Jise Aapko Use Karna Chahiye
- WordPress Sticky Posts Kab aur Kaise Create Kare ?