Kiya aap apne WordPress site ko access karne wale specific IP Address ko block karna chahte hai ? Specific IP Address ko Block karna apki website par spam aur hacking attacker ko rokne ke liye use kiya jata hai. To chaliye jante hain ki WordPress me IP Address Block Kaise Kare ?
Har computer device joki Internet se connect hota hai uska apna ek IP address hota hai. IP address ek unique number (e.g. 151.101.121) hota hai, jise computer ya dusre Internet-capable device jo Internet protocol ka use karte hai, unse connect hone ke liye assign kiya jata hai.
Internet par IP address computer ki identity hoti hai. Network me devises ko unke IP address ke base par ek dusre se differentiate kiya jata hai. IP Address do important kaam karta hai, Host ya network interface ko identify karna aur location ko address karna. Agar aap IP Address ke bare me detail me janna chahte hai, To separate article IP Address kya hai padh sakte hai.
VPN ke service ko use kar ke sare information ko hide bhi kiya ja sakta hai. Ye IP Address aur personal information ko hide karne ki permition deta hai.
IP Address Block Kab Aur Kyun Kare ?
Agar apke website par unwanted visitors, spam comments, spam emails aate hai ya fir koi apke sites ko hack karne ka koshish karta hai, To uske IP Address ko block kar dena chahiye.
IP Address block karne ke baad wo user apni particular device se apki website ko access nahi kar payega. To chaliye ab jis IP Address ko block karna hai, Uss IP Address ko find kar lete hai.
Visitors ka IP Address Pata Kare :
WordPress un visitors ke IP Address ko save kar leta hai, Jo bhi apke sites par comment karte hai. Aap apne WordPress admin area me comment section me ja kar unke IP Address ko dekh sakte hai.
Agar apke site par DDOS (denial of service) attack hota hai to IP address ko locate karne ka sabse achha tarika apne server ke access log ko check karna hai. DDOS (denial of service) attack me website ki loading speed bahut slow ho jati hai aur jaldi access nahi ho pata hai.
Access log ko dekhne ke liye apko apne WordPress hosting account ke c panel me login karna hai. Then Logs section me “Raw Access Logs” icon par click kare.
Access log open karne ke baad apne Domain name par click kare, Aur access log file ko download kare.
Apka access log file .gz archive file ke andar hoga. Uss file par click kar ke extract kare. Extract karne ke baad archive ke andar access log file ko plain text editor me open kare. (Agar file open nahi ho raha hai to apne computer me Winzip ya 7-zip ko install kare).
Then yaha jo bhi IP Address suspicious lag raha hai, usko block karne ke liye copy kar le.
WordPress me IP Address Block Kaise Kare :
WordPress me IP Address Block karne ke liye, Mai yaha do method bataungi. Aap apne according dono me se kisi bhi method ko use kar sakte hai.
Agar aap users ko apni sites par comment karne se ek specific IP address ke zariye rokna chahte hai, To aap apne WordPress admin area se kar sakte hai.
- WordPress Dashboard Se IP Address Block Kare
- cPanel Se IP Address Block Kare
1. WordPress Dashboard Se IP Address Block Kare :
Apne WordPress Dashboard me jaye aur Setting >> Discussion par click kare.
Then thora scroll down kar ke “Comment Blacklist section” me jaye, Iss section me ek khali box hoga. Yaha par suspicious IP Address, jis IP Address ko block karna chahte hai, use paste karen aur “save changes” button par click kare.
Iss tarike se jiss user ka IP Address apne block kiya hai, wo apke site par visit to kar paega lekin jab wo comment submit karega to usko error massage show hoga.
2. cPanel Se IP Address Block Kare :
Agar aap apne WordPress ko hacking attempts aur DDOS attacks se protect karna chahte hai, to iss method ka use karna chahiye. Ye tarika IP Address ko poori tarah se block kar deta hai. Iss method me users ka IP Address block karne ke baad wo apke website ko view ya access nahi kar paega.
Iss method ko use karne ke liye sabse pahle apko apne Hosting account ke cPanel dashboard me login karna hai. Login karne ke baad scroll down kar ke “security” section me jaye then “IP Address Deny Manager” icon par click kare.
Ye apko IP Address Deny Manager tool me le jaega. Yaha aap unn IP Address ko add kar sakte hai, jise aap block karna chahte hai. Yaha single IP Address ya IP range add kare aur “add” button par click kare.
Agr apko kabhi future me IP Address ko Unblock karna hua to aap same page pe aakr Unblock kar sakte hai.
To Doston bas itna hi, Ummid hai aapko ye article (WordPress me IP Address Block Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Me Autoblog Create Kaise Kare ?
- Google Analytics Admin Dashboard Set Up Kaise Kare
- WordPress Yoast SEO Plugin Install and Setup Kaise Kare ?
- WordPress SEO Complete Guide for Beginners