WhatsApp Web Dark Mode:- WhatsApp ek popular chat app jiske poori duniya me 1 million users hai. Facebook jo WhatsAppki parent company hai wo lagatar isme naye features ko add karti rahti hai taki ye App dusre App se aage rah sake. Jitne bhi update WhatsApp pe aaye hai ya aane wale hai unme se sab se zyada WhatsApp dark mode ka log intezar kar rahe hai.
Aajkal aap dekh rahe honge ke dark mode technology ki duniya me ek trend ban gya hai. Youtube chrome sabhi ne dark mode feature ko roll-out kar diya hai. Kaha ja raha hi ke WhatsApp apne android version ke liye bhi jald hi dark mode lane wala hai. Halaki aaj is article me hum aapko ek aise alternative method ke bare me batane wale hai jiski help se aap WhatsApp web dark mode ko use kar sakte hai.
To agar aap bhi WhatsApp web dark mode ka use karna chahte hai to aap niche diye gaye steps ko follow kar ke WhatsApp web dark theme ka use kar sakte hai.
WhatsApp Web Dark Mode Ko Enable Karne Ke Steps
WhatsApp Web Dark feature ka use karne se pahle aapko bata den ke WhatsApp web dark mode feature Chrome aur Firefox pe hi available hai.
Aapke pass Chrome and Firefox ka latest version hona chhaye. Iske sath hi aapko Stylus extension aur ek separate theme ko install karna hoga.
- Sab se pahle dark theme ke liye aapko apne chrome ya firefox pe Stylus extension ko download karna hai.
- Stylus extension ko download karne ke liye aap Here pe click kare aur Add to Chrome ke option pe click kar ke extension ko browser me add kare.
- Extension ko browser me install ho jane ke baad aapko dark theme ko enable karne ke liye uspe click karna hai aur usme aapko dark theme foe WhatsApp web ke option ko dhundhna hai.
- Ab aap WhatsApp web ko ek tab me open kare.
- Stylus pop-up window se aapko ‘Find Styles’ link pe click karna hai, ya phir aap direct Is link pe click kar ke theme ko install kar sakte hai.
- Yahan pe aapko WhatsApp web ke liye jitne bhi theme available theme honge wo dikh jayenge.
- Aapko jis theme ko apply karna hai use list se select kare aur apply karne ke liye uspe click kare aur Install kare.
- Ek baar theme apply ho jane ke baad aapko Kuch is tarah ka dikhega.
- Agar aap chahe to kisi bhi theme ko customize karne ke liye website pe visit kar sakte hai, ya phir aap apne pasand ke hissab se kisi naye theme ko create kar sakte hai.