WordPress ka use Internet pe maujood lagbhag forty percent wesite ke liye kiya gya hai. WordPress hame different tarah ke website banane ke liye allow karta hai. Is article me hum aapko atayenge ke hum WordPress website ka ek custom home page kaise create kare.
Jaisa ke hum jante hai ke kisi bhi wesite ke liye Home page ek bahut hi important component hai. Ek perfect landing page bounce rates ko kam karne, traffic ko aur customer satisfaction ko increase karne me help karta hai. To chalye sab se pahle hum jaan lete hai ke Home page kya hota hai?
Home Page Kya Hota Hai ?
Home page kisi bhi website ka introductory ya front page hota hai. Ye wo page hai jo tab dikhayi deta hai jub koi bhi aapke website ke name ko apne browser ke address bar me enter karta hai.
Home page ka main kaam aapke website ko users ke samne introduce karna hai. Ye mainly aapke users ko aapke wesite ke bare me essential information provide karta hai.
By default WordPress aapke recent post ko home page pe dikhata hai, lekin ye aapke site ke liye accha nahi hai. Kyuki ye aapke site ke kuch article ko hi show karta hai.
Agar aap ek business site run kar rahe hai to aapke site ke home page pe sirf aapke product aur services ke bbare me hi information na ho balke aapke site pe aapka contact detail hi hona chahye.
Home Page Selection
WordPress aapko apne kisi bhi page ko Home page ki tarah use karne ke liye allow karta hai.
Aap simply Pages me New Page ke option me ja kar page create kar sakte hai. Aaap page ko Home tittle de aur use publish kare. Aap is page ko apne custom Home page ki tarah use kar sakte hai.
Aapko hum aage batayenge ke aap apne Home page ke layout ko kaise design karenge.
Agar aap apne site pe blog bhi run karna chahte hai to aapko ek blog naam ke page ko separate create karna hoga taki aap usme apne blog ko show kar sake.
- Aap Page me New Page pe ja kar Blog naam ke tiitle se blog ke liye page create kar ke use publish kar sakte hai.
- Page create karne ke aad aapko apne admin me Settings » Reading page pe jana hai. Yahan pe aapko Home Page display section se ‘A static page’ ke option ko select karna hai.
- Ab aapko Home Page aur Blog page ko select karna hai jise aapne create kiya hai.
- Pages ko select karne ke baad Save changes ke button pe click kar ke page setting ko save kar len.
Aapne custom Home page ke liye page ko set up kar diya hai. To ab dekhte hai ke aap apne WordPress site ke liye Custom Home Page ko kaise Design Kare.
Page Builders Ki Help Se Custom Home Page Kaise Create Kare ?
Ye method Custom Home page design karne ke sabhi method me sab se easy hai. Is method ke use se aapko kisi bhi tarah ke Coding ya design skill ki zaroorat nahi hai.
Is method ka use karne ke liye aapko sirf WordPress page builder plugin Plugin ki zaroorat hogi. Sab se pahle aap WordPress page builder Plugin ko download aur install karen. Plugin ko install karne ke liye aap WordPress Plugin Install kaise kare post ko padh sakte hai.
Is Plugin me aapko 20 se bhi zyada layout milenge jisme se aap kuch bhi choose kar sakte hai. Aapko jo bhi layout pasand hai aap uspe click kar ke use select kar sakte hai.
Ek baar layout ke highlight ho jane ke baad right side me “Insert” button pe click kare. Yahan pe aapse poocha jayega ke aap template ko pahle insert karna chahte hai ya replace karna chahte hai. Aap replace current ke option pe click kare. Aap se confirmation manga jayega aap use confirm kare.
Confirm karne ke baad field ko automatically layout ke liye text editor me aad kar diya jayega. Ab aap yahan pe kisi hi widget ko edit kar sakte hai. Aap kisi bhi chiz image font color sab kuch ko edit kar sakte hai. Jub aapka customization complete ho jaye to aap Publish button pe click kar ke apne Hpme page ko publish kar sakte hai.
Ummid hai aapko WordPress Me Custom Home Page add karne ka ye article ( WordPress Me Custom Home Page Kaise Create Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read
- WordPress Posts Me Author Info Box Kaise Add Kare
- Filezilla FTP Client Setup Kaise Karen?
- Images Aur Media Files Ko WordPress Me Rename Kaise Kare.
- WordPress Me Custom Facebook Feed Kaise Create kare