Guys aajke waqt me jahan bhi website banane ki baat hoti hai hume WordPress ke baare me sunne ko milta hi hai, ab aise me ye janna bhot zaroori hai ki actual me WordPress Kya Hai ?
WordPress ek free open source Content Management System (CSM), software or platform hai. WordPress ki madad se website banane ke liye aapko Website Designing aani zaroori nahi hai, balki aap bgair kisi technical knowledge ke website bana sakte hain.
WordPress Kya Hai, kaise work karta hai chaliye Details Me Jaante Hain.
WordPress Kisne Or Kab Banaya ?
WordPress ko Matt Mullenweg and Mike Little ne 27 May 2003 me banaya. WordPress ko GPLv2 licence ke saath release kiya gya, iska matlab tha ki ise koi bhi use kar sakta hai or ise modify kar sakta hai.
WordPress kya hai or kisne Invent kiya ye to aapne jaan liya. Ab main aapko bata doon WordPress Blogging ke liye zyada jaana jaata hai, Internet ke upar 32% website wordpress ke upar bani hui hai. Ab aapke man me ye khayal aa rha hoga ki aisa kya hai wordpress me jiski wajah se ise itne saare log use karte hain, to chaliye jaante hain wordpress se judi kuch khaas baaten.
WordPress Kiyon Use Karen ?
WordPress me aise to bhot saare khaas feature hain, Likin aaj main aapko unme se kuch bhot hi khaas feature ke baare me bataunga.
- WordPress Seekhne me Aasan Hai
- WordPress Use Karna Aasaan Hai
- Website Design Karna Aasaan Hai (WordPress Theme)
- New Feature Add Karna Aasaan Hai (WordPress Plugin)
- Google Search Me Aana Aasaan Hai ( SEO Friendly )
- Mobile Friendly Website ( Responsive )
- WordPress Safe Hai ( Security )
* WordPress Seekhne me Aasan Hai ? (Easy To Learn)
WordPress seekhna bhot hi aasaan hai. iske liye aapko kisi bhi trah ki coding seekhne ki zaroorat nhi padti or na hi kisi bhi trah ke technical knowledge ki zaroorat padti hai. Internet ke upar aapko har language me WordPress se Related Guide mil jayenge. Humari Ye ye Website bhi WordPress se related Post ke liye aapki Khidmat me hai.
* WordPress Use Karna Aasaan Hai ? (Easy To Use)
WordPress ko use karna or apne website ko poori trah se manage karna bhot hi aasaan hai, Easy Interface aapko yahan par milta hai, taki aap apne website ko aasaani se manage kar saken. Agar aap naye hain to aap sochte honge ki website me itni saari chizen hoti hai kaise manage karenge lekin agar aap ek baar wordpress use kar lenge to usse aasaan aapko kuch bhi nahi lagega.
* Website Design Karna Aasaan Hai (WordPress Theme)
WordPress Website Designing poori trah Install kiye hue Theme ke upar depend karta hai. WordPress Me Aapko Theme install karne ka option milta hai or lakhon trah ke free themes or paid themes available hain. To bas aapko apni website ke according theme install karna hota hai, saath hi aap poori trah se Theme Customise kar sakte hain. to is theme ki wajah se bgair kisi coding knowledge ke aap jaisa chahen waisi website bana sakte hain.
Read More : Best WordPress Theme For Website
* New Feature Add Karna Aasaan Hai (WordPress Plugin)
WordPress Website me koi bhi new feature add karne liye aapko plugin install karne ka option milta hai jisse aap apne website me naye naye features add kar sakte hain, Jaise ki agar aapko apne website ke upar kuch sell karna hai to aapko uske liye Woocommerce Plugin install karna hoga jisse aapka website online shopping site ki trah work karne lagega.
Read More : Best WordPress Plugin For Website
* Google Search Me Aana Aasaan Hai ( SEO Friendly )
Kisi bhi website ke liye Google Search Result me aana sabse bada challenging kaam hota hai, aise me WordPress SEO (Search Engine Optimisation) friendly hai. Saath hi SEO ko improve karne ke liye bhot saare plugin mil jayenge jisse aapne website ko bhot hi aasaani se search engine me rank kar sakte hain.
Read More : WordPress SEO Tips And Tricks
* Mobile Friendly Website ( Responsive )
Aaj ke date me Internet ke upar 70% traffic or log mobile se aate hai. Aise me Responsive Website ya mobile friendly website hona bhot zaroori hai. Google bhi ab aise website ko hi search engine me rank karta hai jo mobile friendly hota hai, Aise me WordPress theme or website already responsive hote hain.
Read More : Best Responsive WordPress Theme
* WordPress Safe Hai ( Security )
Website Security ek bhot hi badi chiz hoti hai, agar aapka website safe nahi hai to hack hone ka dar hota hai. Aise me WordPress ek Safe Platform hai, or Saath hi Aapko Yahan For Security se related kafi saare tools and Plugins mil jaate hain.
Read More : WordPress Security Tips And Tricks
WordPress Multipurpose Website
WordPress Blogging ke liye hi nahi hai balki aap yahan par jaisi chaho waisi website banan sakte ho, jaise ki –
- Online Shopping Site
- Social Networking Site
- Video Uploading Site
- Photo Gallery
- Portfolio
- Rating Website
- eLearning Site
- Membership Site
- School Collage Site
- Job Search Site
- Earning Site
- Affiliate Site
- Coupons And Deals Site
WordPress bhot hi flexible hai so jaisi website aap banana chahen aap bana sakte hain. Ummid hai aapko samajh me aa gya hoga ki wordpress kya hai or yahan par aap kitni aasaani ke saath website bana sakte hain.
Agar Aap Step By Step WordPress Videos Dekhna Chahte hain to aap humare Billi 4 You YouTube Channel par visit kar sakte hain ya Aap Yahan Click Kar sakte hain.