Recover WhatsApp chat: Kabhi kabhi humse ghalti se ya phir kisi wajah se hamare chat delete ho jate hai. Ya phir kabhi aisa bhi hota hai ke hamara phone chori ho gya ho ya phir Kisi wajah se kharab ho gya ho to aise condition me humko apne chat ko khona par jata hai, aur hame afsoso hota hai ke hamare chats delete ho gaye. Agar aapke sath bhi aisa hi kuch hua hai to aaj hum aapke liye lekar aaye hai kuch tricks jiski madad se aap apne whatsapp chat ko wapas pa sakte hai. To aaeye dekhte hai ke aap apne WhatsApp chat ko kaise recover kare.
Apne deleted WhatsApp messages ko retrive karne ke liye aapko apni setting me “Chat Backup” ko enable karna hoga.
Apne chat ko backup karne ke liye App Settings me jaye phir Chats, aur phir Chat Backup me jaye. Yahan pe aapko apne WhatsApp ko Google Drive/ iCloud account se connect karne ka option aayega. Apne WhatsApp ko Google drive ya icloud se connect kare ab aapka chat sync hone lagega. Settings me apko ye bhi option mil jayega ke aap apne chat aur video ko kab backup karna chahte hai aur kis network pe karna chahte hai. Aap Wi-fi ya phir mobile data ko select kar sakte hai.
Ab apne chat ko backup kare. Chat ko backup karne ke baad aap ka data save hai. Ab aap use jub chahe recover kar sakte hai. Ab agar aapke device me koi dikkat aa jaye ya phir aap apna phone change kare to aap aapne data ko backup kar sakte hai. Apne data ko backup karne ke liye aap Chat Backup section me jaye aur restore button ko tap kare.
Recovering Older Deleted Chats
- Apne device pe File Explorer open kare
- WhatsApp me ja kar Databases me jaye
- msgstore.db.crytp12 ko msgstore-latest.db.crytp12 se rename kar den
- msgstore-YYYY-MM-DD.1.db.crypt12 ko msgstore.db.crytp12 me rename kare
- Agar Google Drive backups ko aapne enable kar rakha hai to Google Drive open kare, Backups ke option pe tap kare, aur phir delete the WhatsApp backup file ko select kare
- WhatsApp ko uninstall kar ke reinstall kare
- Aur restore ke option pe click kar ke chat ko backup kare
Also Read: WhatsApp Messages Jinpe Bhool kar bhi click na karen
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.