Restore contacts: Kabhi kabhi hum se apne Google contacts ghalti se delete ho jate hai, aur delete hone ke baad hum use recover karna chahte hai. To aaj hum aapko is post me batayenge ke aap apne Google contacts ko recover kaise kar sakte hai. To apne Google contacts ko recover karne ke liye niche diye gaye simple steps ko follow karen.
How to Restore contacts from Gmail
- Apne Gmail Account me sign in karen
- Contacts me jayen
- More pe click karen
- Undo changes ke option ko select karen
- Ab apna desired time frame select karen
- Confirm pe click karen. Aako message dikhega ke kitne period me aapke contacts restore ho jayega.
Ab aapka deleted aur edited contact restore ho jyega. Lekin ye step aapke pichle 30 dino ke hi contacts restore kar payega. Agar aapke contacts me is se pahle koi bhi changes hui hogi to aap use recover nahi kar payenge.
Also Read: Gmail Me Multiple Emails Kaise Forward Karen
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.