Google ne India me apna Google Family Link App launch kar diya hai. Ye App khas kar smartphone ke liye ek Parent control software hai jo parents ko apne baccho ki online activity aur use pattern pe nazar rakhne ke liye banaya gya hai. Is App ki madad se parents apne baccho ke smartphone usage pe kuch ground rules set kar sakte hai.
Google Family Link app ke sath parents apne baccho ke smartphone ka monthly aur weekly reports dekh sakhne ke sath hi unke bacche apne smartphone ko kaise istemal kar rahe hai ye bhi dekh sakte hai. App parents ko maximum hour set kar ke usage limitation bhi set karne ke liye allow karta hai.
Also Read: Deleted Photos Ko Kaise Recover Karen?
Parents ke banaye huye sabhi regulation ke sath, App baccho ko apne parents ke supervision se niikalne ka bhi mauqa deta hai. Is case me App pahle parents ko notify karega aur agar parents inkar kar dete hai to app phone ko lock kar dega tabtak ke liye jubtak bacche supervision ko accept nahi karte hai.
To agar aap bhi is app ko use karna aur iske feature ko janna chahte hai aur soch rahe hai ke supervision kaise set kare to hamare niche diye huye guide ko follow karen.
Google Family Link app ke feature:
Screen time limit: Ye feature parent ko apne baccho ko monitor karne me help karega ke bacche phone pe kitna time spend kar rahe hai.
Kid’s activities aur site ko track kar saken: Aapke kids jin services ko use kar rahe hai unhe aap approve aur disapprove kar sakte hai. Iske sath hi aap App purchase ko authorize kar sakte hai.
How to set up and use Google Family Link App
- Google Play store se ‘Google Family Link App for parents’ ko download karen
- Apne Google Account se sign in karen
- Apne bachhe ke Google account ko create karen (jo 13 saal se kam ka hona chahye)
- Apne kids ke device pe App ko download karen
- Parent device me generate huye code ko bacche ke phone me enter karen
- Jub dono device connect ho jayen to parent screen-time limit set kar sakte hai, kisi bhi App ko approve aur disapprove kar sakte hai aur phone ko bhi lock kar sakte hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
2 comments
[…] Google Family Link App- Karen Apne Baccho Ki Activity ko Track […]
[…] Google Family Link App- Karen Apne Baccho Ki Activity ko Track […]
Comments are closed.