Agar aap apne Windows Laptop ya Desktop ke liye WI-FI ka Password Pata Kaise Karen ye janna chahte hai to iske liye aapko is baat ka dhyan rakhna hoga ke aapka device Wi-Fi se connected ho. Agar aapka device wifi se connected hoga tab hi ye trick kaam kar sakta hai.
Aap Wi-Fi ke password ko janne ke liye apne computer ke setting ka use kar sakte hai. To agar aap bhi apne laptop ya desktop me Connect wifi ka password kaise pata kare.
Also Read: Windows 10 Me System Restore kaise kar
WI-FI ka Password Pata Kaise Karen
- System tray me diye huye Wi-Fi icon pe right-click karen.
- Open Network & Internet setting pe tap karen
- Uske baad Network setting ka ek page aapke samne khul jayega page ko niche scroll karen aur Network & sharing center ke option pe click karen
- Ab ko screen pe aapke connected Wi-Fi ka naam dikhega.
- Connected Wi-Fi ke naam pe click karen
- Ab Wireless Properties ke option me jayen
- Security tab pe tap karen
- Show password ko check kar ke aap apne connected wifi ka password dekh sakte hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.