Free Software Download Sites dangerous ho sakta hai. Ek bure site pe jane se aap nakli download button aur nakli virus aur malware warning se pareshan ho sakte hai, joke aamtaur pe software ke bhes me malware hote hai.
Ek accha internet security suit aapko malware-loaded downloads se bachata hai, lekin hamare liye aise free ke download site se bachna hi behtar hai. Malware aur dhoke se bachne ke liye hamesha acche sites se software ko download kar na chahye taki kisi bhi tarh ke dhoke se khud ko bacha saken.
Agar aap kisi bhi site ke reputation ko check karna chahte haai to niche diye gaye tool ki madad se aap kar sakte hai.
Also Read: 5 Free PDF Editor Website
Kisi bhi website ko is list ke liye qualify karne ke liye, ise Web of Trust ke liye kam se kam 90% aur URLVoid ke liye 35/36 score karna hoga. Koi bhi site 100% safe nahi ho sakta, lekin ye download site aapke liye generally clean aur helpful ho sakte hai. To aaeye jante hai Windows ke liye un safest free software download website ke bare me:
Best Free Software Download Site
1. Ninite
WOT Trustworthiness: 94%
URLVoid Rating: 36/36
Agar aap Ninite ke bare me nahi jante hai to hum aapko bata den ke iska istemal kafi aasan hai. Yahan pe aapko software ki ek list Show ki jati hai jiski madad se aap apna pasandida software chun sakte hai. Uske baad aap ek custom installer file ko download kar sakte hai jo aapke dwara select kiye gaye sabhi program ko ek sath jodta hai taki aap unhe ek sath download kar saken.
Ninite ko apne safety aur security ke liye jana jata hai, yah Free Software Download Sites ki list me top pe hai isliye yahan pe aapko kisi bhi tarah ke malware, bundled bloatware, aur junkware ke bare me pareshan hone ki zaroorat nahi hai. Ninite se download kiye program ko Run karne ke liye aap kisi bhi Installer file ko Run karen Ninite automatically sabhi file ko run kar dega.
2. Softpedia
WOT Trustworthiness: 93%
URLVoid Rating: 36/36
Softpedia web pe sabse bada file host hai, jiske database me 850,000 se zyada file hai. jinme se sakron ko har din update kiya jata hai, isliye na to sirf aap clean aur malware free program payenge, balki aap is chiz keliye bhi sure ho sakte hai ke yahan se aapko recent files milenge.
Iske top par ek shandar reputation aur istemal me aasan interface hai jo Windows, Mac, Linux, Android, iOS, or Windows Mobile par sabhi tarah ke program aur driver ke browsing ko aasan banata hai.
3. MajorGeeks
WOT Trustworthiness: 93%
URLVoid Rating: 36/36
Major geeks pichle 15 salon me sabse reputed software download sites me se ek raha hai. Agar kisi site pe kisi bhi waqt kuch hazar users online rahte ahi to aap jan sakte ahi ke ye kitni acchi service provide karta hoga.
Top Freeware Picks ki iski list start karne ke liye ek shandar jagah hai. Aap yahan pe sabhi high-rated program ko asani ke sath download kar sakte hai.
4. FileHippo
WOT Trustworthiness: 93%
URLVoid Rating: 36/36
FileHippo ek well-known site hai jiske 20,000 se zyada active program Windows, Mac, and Web par 16 categories me bante huye hai. Lekin aap yahan pe jo kuch bhi karte hai par agar site aapko download manegar ya aisa kuch bhi provide karti hai to aap use chor kar sidhe download ke liye jayen.
5. DonationCoder
WOT Trustworthiness: 92%
URLVoid Rating: 36/36
DonationCoder Free Software Download Sites me se ek hai jo software development ko organize aur finance karne ke liye ek donation based model ko support karat hai aur ek yeh ek Donationware ka ek example hai. Ye community apna khud ka software develop aur finance karti hai. Donationcoder aapko ek free aur clean software provid karti hai.
Is site ka ek downsite ye hai ke yahan pe aapko Donationcoder dwara develope kiye haye utilities hi mil payenge. Yahan pe diye gaye sabhi program useful aur intresting hai. Isliye shayad aapko kuch aisa mil jaye jiski khio me aap ho.
To ye the kuch Free Software Download Sites jahan se aap aasani ke sath clean aur secure software downloaad kar sakte hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.