Delete an Instagram account: Photo sharing platform Instagram bahut saare dusre photo sharing platform ko tough competition de raha hai. Jaisa ke hum jaante hai ke Instagram ek popular Photo sharing App hai jiske Globally 800 million active users hai. Millions user daily is social media platform pe information ko photo, video, aur story ke roop me share karte hai.
Also Read: Youtube Dark Mode On And Off Kaise Karen
Agar Aapne Instagram ko try kiya hai aur aap ye soch rahe hai ke ye aapke liye nahi hai ya aap ise chorna chahte hai to aap ise delete karna chah rahe honge. Aapko bata den ke Instagram account ko disappear karne ke do options hai, Aap ise temporarily aur permanently delete kar sakte hai. Isme main difference ye hai ke agar aap apne account ko permanently delete karte hai to aapke videos, photos erase ho jayenge, Aur agra aap ise temporarily karte hai to aapke data ko hide kar diya jayega aur jub aap dobara aane ka decide karenge to aapke saaare content wahan pe honge.
To dekhte hai Instagram ke account ko delete karne ke steps
Instagram account Ko Temporarily Disable Kaise Karen
Step 1. Instagram.com pe jane ke liye Browser ka use karen (Aap ise Application se nahi kar sakte hai)
Step 2. Login karen
Step 3. Top right corner me profile button pe click karen.
Step 4. Edit profile ke option pe click karen
Step 5. Niche scrool karen aur “Temporarily disable my account” link ko select karen
Step 6. Reason select karen ke aap Instagram kyu Disable rahe hai.
Step 7. Apna Password dobara Enter karen
Step 8. “Temporarily Disable Account”. ke button pe click karen
Step 9. Account ko reactivate karne ke liye simply apne account me login karen
How to Delete an Instagram account (Permanently)
Step 1. Browser me Instagram account ko delete karne ke liye Instagram’s dedicated page pe jayen.
Step 2. Agar aap login nahi hai to aapko login karne ke liye kaha jayega.
Step 3. Account Delete karne ke reason ko select karen
Step 4. Password ko Re-Enter karen.
Step 5. “Permanently delete my account” wale red Button ko select karen
Step 6. Ab aapka Instagram Account Delete ho jayega.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.