Edit pdfs online: Hum hamesha se PDF files ko padhne ke liye Adobe Acrobate ka use karte the. Lekin Unfortunately ab hame PDF File ko edit karne ke liye Adobe Acrobate ke paid version ka use karna par raha hai.
Halaki agar aapke pass paid version nahi hai aur aap phir bhi PDF ke sath kaam karte hai aur Pdf File ko aasani ke sath edit karna chahte haai to hamare pass aapke liye ek simple process hi jiski madad se aap PDF file ko aasani ke sath bina Adobe acrobate ke edit kar sakte hai.
Niche diye gaye steps ko follow karen aur PDF file ko aasani ke sath online edit karen
Edit pdfs online
- Editing ke process ko start karne se pahle aapko apne PDF file ko Google Drive me save karna hoga.
- PDF file ko Google drive me upload karne ke liye New pe click karen aur phir File Upload pe uske baad us location pe jaye jahan pe aapne file ko save kiya hai.
- File ke upload ke process ko complete hone ke baad Google drive me apne file pe jayen aur uspe right click karen.
- Uske baad aap file ko Google docs se open karen.
- Jiase hi file Google docs me open ho jata hai app use edit karen aur phir se file ko PDF ya word document ya kisi dusre File format me save kar den.
Halaki is method ka use karne se pahle aapko kuch baaton ka dhyan rakhna hoga jaise ke ye method PDF file ke text document ke sath hi acche se kaam karta hai. Ho sakta hai ke agar aap kisi form ke sath kaam kar rahe hai to uske kuch field miss ho jayen. Iske sath hi agar aapke file me koi fancy format hoga ya phir koi image hoga to wo disappear ho jayega.
Also Read: External Drive Not Recognize Issue ko Windows 10 me kaise Fix karen
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.