use smartphone as tv remote: Kya aapke sath bhi aisa hota hai ke Aap apne smart TV ke remote ko aksar kahin pe rakh kar bhool jate hai aur phir aapko apne TV ko operate karne me pareshani hoti hai. Agar aapko bhi aise pareshaniyon ka samna karna parta hai to ab aapki ye pareshani door ho jayegi, kyu ki ab aap apne Smartphone ko apne smart TV, Android TV box, FireTV Stick, Roku TV remote ki tarah use kar sakte hai. Yahan pe hum aapko batayege ke aap apne Smartphone ko kaise apne smart TV remote ki tarah use kar sakte hai.
Zaroori Chizen
- Aapke smart Tv me Wireless connectivity honi chahye
- Aapka smart Tv aur phone dono ek hi wi-fi se connected hone chahye.
- Aapka Smaretphone Android 4.4 ya uske upar ke version ka hona chahye.
- Smart TV device ya box APK file ko support karna chahye.
Initial Setup
- Apne smart TV Device aur Phone dono pe CetusPlay app ko Download aur Install karen. Diye gaye link se apne Device ke liye APK file ko Download karen.
- Bahut saare cases me Smartphone App Tv companion App ko automatically download kar leta hai. Aaap pendrive ki madad se ise manually bhi Install kar sakte hai.
Follow karne ke Steps
- Apne Phone pe App ko kholen aur tab tak wait karen jubtak aapka phone Smart Tv App ko dikha na de.
- Apne TV aur Smart Phone pe Sabhi permissions ko Allow karen.
- App ke connect hone ka wait karen.
- Ab Appko niche diye gaye Options me se Remote type ko select karna hoga.
- Dpad mode:- Haptic feedback ke sath ye ek clicky remote hai.
- Touchpad mode:- Ye mode Touchscreen remote ki tarah kaam karega.
- Mouse mode:- Non-native TV App use karte waqt ye ek helpful mode hai.
- Gamepad mode (Beta):- aap iska use Game khelte waqt kar sakte hai.
5. Tv remote ki tarah kaam karne ke alawa is App me bahut se features hia.
6. Play on TV- Ye aapko apne phone ko built-in miracat ki madad se directly cast karne me madad karta hai.
7. Built-in App center: Yahan pe aapko apne smart TV ke liye Apps ka collection mil jayega.
8. Screen Capture: yahan se aap apne TV ke screen ko capture kar sakte hai.
Agar aapne Samsung/LG smart Tv kaharida hai jo apne khud ke OS pe chalta hai to aap specific remote App ko Download nahi kar sakte hai, isliye aap niche ke steps ko follow kar sakte hai.
Ye sure kar len ke aapka Tv aur smartphone dono ek hi Wi-fi network se connected hai.
Apne LG/ Samsung Smart Tv ke liye in Apps ko Download karen.
Setup ko poora karne ke liye screen pe di gayi Instruction ko Follow kare.
Also Read: Ab WhatsApp Android User Kar Payengen Group Chat Me Bhi Private Reply
अगर आपको यह आर्टिकल पसंद आया, तो कृपया वर्डप्रेस वीडियो ट्यूटोरियल्स के लिए हमारे YouTube Channel को Subscribe करें। आप हमें Twitter और Facebook पर भी फॉलो कर सकते हैं।